You are on page 1of 2

www.tallyclass.com Bank Account Group www.youtube.

com/c/happylearny

Chapter 39 : Bank Account Group in Tally


one By one ham Tally me Jitne bhi Group hote hai un Sabka Concept Clear karenge aur sath me
ye bhi janege ki kis Group ka Kya nature hota hai aur phir Baad me in Sabhi Group ki Entry bhi
Karna Sikhenge

to Sabse Pehle main Aapko batana chahta hu ki Bank account 2 tarah ke hote hai.

1. Bank Saving Account


2. Bank Current Account

in 2 ke alawa bhi bank me aapko dusre bhi account ho sakte hai jaise

1. Bank FD Account
2. RD Account
3. Loan Account
4. OD Account

Lekin Ye Bank Account nahi hai Bank Account ka matlab hota hai Aisa khata jisme ham Paise
jama karwate hai aur Nikalwate hai Jisme ham kabhi bhi kuch bhi len den kar sakte hai.

Ab Saving Account aur Current account me main apko fark Bata deta hu

Bank Saving Account Bank Current Account


Saving Account kisi bhi Individual Person yani Jabki Current Account Firm ke Naam par hota hai.
Vyakti ke naam par hota hai.
Saving Account me Paisa Jama Karwane ki limit hoti Current Account me aap kitna bhi paisa Bank me
hai. jama karwa Sakte hai apne Business Transaction ke
Bachat se jyada Paisa Jama karwane par Income Tax According
ka Notice Aa Sakta hai.
Saving Account me Jama Paise par Byaz Milta hai. Current Account me Jama Paise Par Byaz nahi milta
hai.
Saving Account me Bank Dwara PassBook di jati hai. Jabki Current Account me PassBook ki Jagah
statement Diya jata hai.
www.tallyclass.com Bank Account Group www.youtube.com/c/happylearny

to main aapko simply ye bata deta hu ki kisi bhi bank ka Saving account ya current account ke
ledger ko Bank Account Group me banaya jata hai.

Chahe wo HDFC Bank, ICICI Bank, Axis Bank, IDBI Bank ho Ya koi bhi Dusri Bank.

Maan lijiye kisi ka HDFC Bank me Saving Account hai to


Ledger Banana Chahiye "HDFC Bank Saving Account"
aur Agar Current Account hai to
Ledger Banana Chahiye "HDFC Bank Current Account"

to Dosto ye 2 hi tarah ke Account hai Jinka Ledger Bank Account ke Group me Banta hai ab
baki ke jo bank account hai unka Kaunsa Group hai to wo ham aage Sikhenge.

Ab main Aapko Bank Account Group ka Nature bata deta hu.

Chahe Kisi bhi Bank ke Account me hamara paisa jama hai to wo hamari Sampati hai un Paiso
par hamara hak hai is liye Bank Account ke Group ka nature Assets hota hai.

aur Balance Sheet ke Assets ki Side me Bank Account Group Show Hota hai.

You might also like