You are on page 1of 1

www.tallyclass.

com Branch/Division Group YouTube – Happy Learny

Chapter 61 : Branch/Division Group in Tally


to Dosto is Chapter me ham Branch/Division Group ke Bare me Samjhenge is Group ko Waha
Par kaam me Liya Jata hai Jaha par kisi Company ki Alag Alag Jagah par 2 Ya 2 se Jyada
Braches hoti hai.

For Example Ek Company Hai - ABC Company Pvt Ltd. iska main Head office Jaipur me hai
aur Iski 2 Alag Alag Branches hai.

1. ABC Company Pvt Ltd Jodhpur Branch


2. ABC Company Pvt Ltd Nagaur Branch

Jaipur Head Office me Jo Accounting ka kaam Karega usko Tally me 2 Branches banani padegi
Kyunki Jodhpur & Nagaur me Jo Branches hai Uska Paisa Jaipur Branch me Aayega.

aur Agar Paiso ki jarurat padti hai to Head Office se Dono Branches ko Paisa jayega

Branch/Division Group me Kaun Kaun se Ledger bante hai


Jaha par bhi Company ki Main Head Office hai Waha Par tally Software me Branches ke Ledger
banaye Jate hai jaha Jaha Bhi Company ki Branches Bani huwi hai Jaise –

SR. NO. LEDGER NAME GROUP NAME


1 ABC Company Jodhpur Branch Branch/Division
2 ABC Company Nagaur Branch Branch/Division
3 ABC Company Bikaner Branch Branch/Division
4 ABC Company Jaisalmer Branch Branch/Division

to Simply badi Badi Companies me is Group ki jarurat padti hai Chhote Level par jo kaam kiya
jata hai waha par is group ki jarurat nahi padti

Branch/Division Group Ka nature Kya Hota hai


Kisi bhi Branches me Jo bhi maal Pada hai, Jo udhar ka paisa pada hai, Jo paise hamne Waha par
Diye huwe hai, Ya Waha par Jo Bhi Sampati Padi hai wo Sab Head Branch ki Sampati hai

Is basis par Branch/Division Group ka nature Asset ka hota hai.

You might also like