You are on page 1of 2

www.tallyclass.com Cash In Hand Group www.youtube.

com/c/happylearny

Badhte hai agle Group ke taraf aur is post me ham Cash in hand Group in tally ke bare me Detail
me Samjhenge Most Welcome to My Website TallyClass & Let's Begin.

Chapter 41 : Cash in Hand Group in Tally


Waise to Cash in Hand Group me Kewal ek hi Ledger Banta hai jiska naam hai Cash aur ye bhi
Pehle se bana huwa hota hai. 90% jagah par Cash Account ka jo Ledger pehle se bana huwa hota
hai wahi use kiya jata hai.

10 % Case me Bahut se Accountant Cash in Hand Group me kaam aane wala ek Ledger aur
banate hai Jiska naam Hai Petty Cash.

Petty Cash ka ledger Bhi Cash in Hand Group me banta hai. Ab Petty Cash hota kya hai wo
Samajh Lete hai.

What is Petty Cash


Maan Lijiye ek Badi Company hai jaha par Jo Bhi Paisa aata ha wo Direct Bank me hi Aata hai
Cash me Rupye Prapt hi nahi hote. ab Company me Kuch Kharche Aise hote hai jiske liye hame
Cash Dena Padta hai jabki Company me Cash Balance aata hi nahi hai.

is Condition me Company ka manager Accountant ko Next 1 Month ke liye Cash me Hone Wale
Kharcho ke Liye Kuch nakad rupye deta hai Jise Petty cash Kehte hai.

aur Petty cash Ka Ledger cash in Hand Group ke under Banaya Jata hai. Ab accountant ko next 1
month me jo bhi cash me kharche honge wo Petty cash me se dega.

aur After 1 month Manager Accountant se Petty Cash ka Pura Hisab leta hai Kitne Rupye diye
aur Kitne Rupye ka Kharcha huwa aur kitne Rupye Balance piche Bacha hai.

Cash in Hand Group me Ban ne Wale Ledger


Ledger name Group name
Cash Cash in Hand
Petty Cash Cash in Hand

2 hi Ledger hai jo Cash in Hand Group me Bante hai.


www.tallyclass.com Cash In Hand Group www.youtube.com/c/happylearny

Cash in Hand Group ka Nature Kya hota hai.


jo Bhi Cash Balance hamare pass hota hai wo hamari sampati hoti hai aur un Rupyo par hamara
haq hota hai to is Basis par cash in hand Group ka Nature Assets ka hota hai.

You might also like