You are on page 1of 2

www.tallyclass.com Fixed Assets Group www.youtube.

com/c/happylearny

Chapter 44 : Fixed Assets Group in Tally


Fixed Assets ka Hindi Me Matlab hota hai Sthayi Samptiya yani wo Sampatiya jo hamare pass
lambe samay tak rehti hai jo hamare lambe samay tak kaam aati hai aur jinhe long time tak
badalne ki jarurat nahi padti Fixed Assets kehlati hai

ab kaun kaun si Assets Fixed Assets Group me aati hai ye Sab kuch ham Is post me Samjhenge.

Definition of Fixed Assets


Fixed Assets ko ham 3 Tarah se Samajh Sakte hai.

1. Aisi Sampatiya jo Lambe samay Tak Upyog ke liye Kharidi jati hai Jinhe Bechne ki
Jarurat nahi Padti
For Example - Makaan Jisme Ham Rehte hai aur Lambe Samay Tak Makan ek hi Rehta
hai isliye Ise Sthayi Sampati kehte hai.

2. Aisi Sampatiya jo Lambe Samay Tak Business me Upyog ke Liye Kharidi jati hai Jaise
Machine
Jab tak machine Sahi Kaam Karti Rehti hai Tab tak Machine ko Change Nahi kiya isliye
ise Bhi Sthayi Sampati Kehte hai.

3. Aise Item Jo office ya dukan me use karne ke liye Kharide jate hai na ki bechne ke liye
nahi
For Example Computer Bill Banane ke liye, AC Thandi Hawa Khane ke liye

to upar diye gaye teeno example se ye pata chalta hai ki ye sabhi wo sampatiya hai jo lambe
samay tak rehti hai ya business me use ki jati hai.
www.tallyclass.com Fixed Assets Group www.youtube.com/c/happylearny

Fixed Assets Group me kaun kaun se Ledger Bante hai


Yaha Table me un Sabhi Ledger ke naam diye gaye hai Jinka Group Fixed Assets hota hai.

SR. NO. LEDGER NAME GROUP


1 Land & Building Fixed Assets
2 Plot Fixed Assets
3 Furniture Fixed Assets
4 Computer Fixed Assets
5 Car Fixed Assets
6 AC Fixed Assets
7 Invertor Fixed Assets
8 Plant & Machinary Fixed Assets
9 Mobile Fixed Assets
10 Laptop Fixed Assets
11 Electric Equipment & Fitting Fixed Assets
12 Cooler & Fan Fixed Assets
13 CCTV Camera Fixed Assets

Inke Alawa bhi Dusre Kai Ledger hote hai Jo Fixed Assets ke Group me bante hai.

Fixed Assets Group Nature


Jaise ki Is Group ke Naam me hi Assets Juda huwa hai aur pure Post se hame ye saaf pata chalta
hai ki jo Fixed Assets hoti hai wo Hamari Sampati hoti hai aur un par hamara hak hota hai

is Basis par Fixed Assets Group ka nature Assets hota hai.

You might also like