You are on page 1of 2

www.tallyclass.

com Unsecured Loan Group in Tally YouTube – Happy Learny

Chapter 48 : Unsecured Loan Group in Tally


Jaisa ki Dosto Chapter 46 : Loan & Advances Asset me hamne Ye Dekha tha ki Loan 2 tarah
ke hote hai.

1. wo Loan Jo Hamne Kisi se Liya hai.


2. wo Loan Jo Hamne Kisi ko Diya hai.

aur Chapter 46 me hamne ye ache se samjha tha ki jo Loan ham kisi ko dete hai uska Ledger
Loan & Advances Asset ke Group me Banta hai.

to ab Baat karte hai us Loan ki jo hamne kisi se liya hai iska ledger Kis Group me Banta hai.

Dosto Jo Loan ham Lete hai wo 2 tarah ke hote hai.

1. Secured Loan
2. Unsecured Loan

Chapter 47 me hamne ye Samjha tha ki Secured Loan kya hota hai aur ab is chapter me ham
Samjhenge ki Unsecured Loan kya hota hai.

What is Unsecured Loan


Aisa Loan Jo ham kisi bhi Bank se, Kisi bhi Co-Operative Society Ya Kisi bhi Vyakti se Lete hai
aur un Loan ke badle koi Security dene ki jarurat nahi padti Use unsecured loan Kehte hai.

For Example - HDFC Bank se 1 Lakh Rupye ka Loan Liya aur 1 Lakh Rupye ke liye
Samajhdar aadmi Property Girvi nahi rakhta hai.
www.tallyclass.com Unsecured Loan Group in Tally YouTube – Happy Learny

Unsecured Loan ke Group me Kaun Kaun se Ledger Bante


hai
Koi bhi Aisa loan ho jo Bina Security diye ho jata hai use Unsecured Loan kehte hai.

SR. NO. LEDGER NAME GROUP NAME


1 Any Bank Loan Account Unsecured Loan
2 Any Co-Operative Society Loan Account Unsecured Loan
3 Any Friends or Relatives Loan Account Unsecured Loan

Unsecured Loan Group ka Nature kya Hota hai.


to Jaisa ki abhi tak hamne puri Post me Ye Jana hai ki Yaha par Us Loan ki Baat ho Rahi hai Jo
Loan hamne kisi se Liya hai. Aur jo Loan hamne Kisi se Liya hai use Wapas Chukana Padta hai
to Ye ham Par Liability hai

to isi Basis par Secure Loan Group ka Nature Liability ka Hota hai aur Balance Sheet me
Liability ki Side me Show hota hai.

You might also like