You are on page 1of 11

The perfect murder.

By Kripanath Singh
SCENE 0 :
(settings: a dead body lying on the floor. Professor sitting on a bench, looking towards
the body, cleaning his gun, whistling his eerie theme. Smoke scattered around.)

Professor:

“ All hail to the knight who bravely stood,

In the face of the evil like he should…

He knew that people won’t understand,

So he quietly sat, and rose his hands…”

Tick-tock. Tick-tock.

(Police arrives. Sirens repeat. Voices… Professor, raise your hands up in the air. Throw
your arms!)

WG: we got you proffesor.

Proff: you wish, you could… huh.. Ha ha. You are late detective. Too late. Ehh.

………………………………………………………………………………………………
SCENE 1:
(Settings: 2 policemen in a room. 1 busy working, other smoking. Samyak enters
the room.)

Samyak: aur... badi ghisai chal rhi hai Shukla ji...


(Waves towards mishra)

Shukla: kya bataein...

Samyak: haa..jab se Gupta jee aaein hain, saans lene ke lie bhi CL leni padti hai… soch
rahe hain maut ke sath ek appointment le lu…sala ye bhi koi jeevan hai(cleans the chair)

CGS: magaye kya kuch khane ko?

Samyak: arey bilkul! Aaj to naashta bhi naseeb nahi hua hai. Subh se field work me lage
hue hain. Lao lao… esa karo paw bhar jalebi mangwa lo… zindagi me mithas ab jalebi
ke raaste hi aayegi lgta hai

CGS : Jaiye dada…bhaisaab ko mithas dilaiye

Dada: Ji?

CGS: are jalebi maharaj

Dada: ji ji laata hu

(Superintendent enters. Rest two raise up and greet. He throws his files on table. Dust
falls off)

SP: Shukla jee homicide wali files laana… (looks into the files. Witty guy enters.
Settles.) haan, to aaj site pe kya tha?

Samyak: sir, crime scene control me hai… forensics ke lie sample jaa chuke hain. Thodi
der me report aati hee hogi. So far so good sir

SP: It’s not good before I declare so.


Any leads? Suspects?

CGS: sir hamare sources follow up kar rhe hain.. jaise hee kuch milta hai to bataeinge…
SP: accha. Isse pichle walon pe kya lead hai?

CGS: sir, follow up chal rha…..

SP(interrupting his sentence in between): are kya follow up…ek toh pehle dher angrezi
bolna band kro. Sala chutiya banana ka alg hi tareeka hai…mtlb 2 mahine.. 4 high profile
cases… aur kisi pe koi lead nahi hai… kar kya rahe ho tum ? Kuch to hoga? Forensics me
kya aaya hai?

Shukla: Sir, first case:


Dr Rajiv Shastri ki jinki dead body unke apartment me mili thi, forensics me pta chla tha
cause of death potassium cyanide poisoning hai…

Samyak: lekin unke aas pass ki kisi cheez me… unke kapde, paani ka glass, jo khana wo
kha rhe they, kisi me koi toxins nahi mile hain.Unke ghar pe koi finger prints bhi nahi
hain.

CSG: Society ke gates pe koi unusual entry bhi nahi hai.

SP: aur doosra ?

CSG: Sir Second case kisi mentally disturbed aadmi ka lag raha hai ... Act
of aggression

Shukla ji- Mr. Shekhar aur unki wife ko unke honeymoon suite me chaakoo se mar dia
jaata hai, aur. unki bodies ko kaat ke bed pe rakh dia jaata hai.

Samyak :(says comically) Sir,..... Nayi nayi shaadi hui thi


(Everyone laughs a bit except SP)

SP: Jyada grmi hai apko?..(looks angrily at Samyak) continue.. Forensics mei kya aaya ?

Samyak: crime scene pe ek knife mila tha , but koi fp nahi the. Aas pass ki cheezeon pe
bhi, like furniture , plates , forks, se bhi kuch nhi mila.
Room service ko bhi kuch pata nahi hai , check in se hi DND laga ke rakha tha.

WG: Brutal agression hua aur finger prints bhi nahi chute? Aapka aadmi shayad itna
disturbed bhi nahi hai shukla jee...

CSG:humne investigation kari thi, par kuch concrete nahi mila

SP :hmm,aur teesra...
Shukla ji: wo inse alag hai, i mean ek bade corporate lawer ka murder uske hi office me,
we have a lot of suspects here. Bohot logo ke paas motive hai but koi aisa concrete
evidence nahi hai jiske basis pe hum kisi ko remand pe le.

Sp: uske ghar walo se baat hui..

Samyak: Han sir, murder wali raat uski wife dinner ke liye wait kar rahi thi..teen chaar
calls bhi kiye the..but pick nahi huye the.
Sir, point blank shoot kiya tha, office kaafi faila hua tha, lekin uski table bohot saaf thi.
Vaha pe ek tiffin box bhi mila par uspe bhi koi fingerprint nahi they(self disappointed)

S.P : Samyak do kaudi ke lateefe fenkne ke alawa aap aur aapki team kuch dhund bhi
paati hai! ???
(samyak head scratch)

CSG: sir humne koshish ki thi… wha kuch nahi tha.

WG: unhone ye nahi kaha kuch hai nahi… unhone kaha, kuch mila nahi.

SP: Han ye bhi thik hai. Ham ye nhi keh rhea ap log nikamme ho..aplog nikammo wali
baate kr rhe ho

( discontent among the 3… expressed with a movement of hands)

WG: Ye teeno cases itne bhi alag nahi ...

CGS:(sarcastically) aur kya jod raha hai ek chef aur dr ko ek corporate lawyer se!!!

W.G: link victims me nahi murders me hai hai…...kyuki in sabka murderer ek hi h…

Samyak: Waaaat??

<W.G. explains….>(enters sherlock mode)


*Music changes*

------------------------------------------------------------------------------------------------------
WG: ( Opens his file takes out documents) 2004 Phantom Homicide case, Remember?

Samyak: Ah, wo Ahmad wala, kya name tha Rahul uhh……


SP: Raul, (Pause) Professor Raul Ahmad ( With serious thinking in Back of the mind)

(Blackout: Professor enters)

WG: Haan, Hamara sabse high-profile case, An outlaw Perfectionist professor

SP: Almost, almost perfectionist…….(with quick reply)

Shukla ji: Haan, pr hum use hum pakad chuke hei, wo jail me hai. shayad bhul rahe ho
tum.

WG: apko sachme ye lagta he ki hmane use pakda hei....(smiles)...Anyway my point is


we are dealing with a serial kiler. aur abi tak hame koi idea nahi hai ki wo kaun ho skta
hai … agli baar kise marega… kyun maarega.. kab marega… we are helpless.
To catch a criminal like this we need to think like one..but the best part is we have one,
probably best in this business. The god of CRIME, the PROFESSOR

CSG: To aap chahte hain ki hum ek criminal se consult karein..!

WG: I know ajeeb si baat hai…

CSG: In fact it’s insulting..it’s outrageous..

SP: Kitna time chahiye tumhe...

……………………………………………………………………………………………

blackout:
audio effect of footsteps in a hallway. 2 metal doors open.
unknown voice 1: sir, aapke pass 5 minute hain. glass wall se minimum 3 feets ki doori pe
rahega.

……………………………………………………………………………………………....

SCENE 2:
WG: Professor Raul! Kaise hain … Pehchana mujhe? Detective Basu... Hum kaafi pehle
mile thay..
Prof: what’s in a name mr.basu. Agar main tumhe murderer aur khud ko detective bhi
bolne lagun, to…
You wouldn’t believe it. Or would you? (smirks)
WG: Believing! Huh.. mera kaam hee logo pe shak karna hai…dahshat ke baazaar me
shak ki dukaan khol ke baitha hoon
Proff: Whoo! That’s quite a poetry… khud pe yakeen hai? Ya apne aap pe bhi shak karte
ho?
WG: Apne aap pr ham shak tabhi krte hain jb poori duniya hmpar yakeen krti ho..
Khair proffessor, aapki ye class kabhi fursat se attend karunga… abhi kaam ki baatein
karein?

Proff: saalon se in andheron me pade hue professor se achanak kya kaam aa pada?

(starts reading files)


WG: getting straight to the point, professor. 4 consecutive murders. abhi tak sirf ye pata
hai ki murderer ek hee hai… aur ek thodi ajeeb see baat hai…
Proff: ki wo murder scene pe baith ke khana khata hai ? (smiling) nice…
WG: that was quick! Hame kaafi time laga tha is conclusion tak aane me..impressive
Proff: (smiles) On some days I am even better.. tumhe yaad hai na ki mai sirf ek physics
professor nahi hu…
…. Interesting (while reading it)
WG: Perfectionist...ryt?
Proff: (looks and pause) nah!
WG: no fingerprints. No witnesses. No evidences…
Proff: (interrupts) yet you know about it… ( with huge emphasis) You know, the thing
about perfect murder is… you never hear about it! (ha ha ha)...
WG: tum kya jaante ho perfect murder ke baare me? Tum ab bhi is 6*6 ke andhere room
ke andar hathkadion me kaid ho… yaad hai na teesre murder ke baad tumhe pakad lia
tha?
Proff: Ha Ha Ha HA HA … believe me son. Like my wisdom…my tally is not just a
number
WG: let’s cut this crap. Tell me. Are you in this or not?
( gatemen: sir aap ka time ho gya)
WG:Well time toh inka ho gya.. bas ek min… (puts files back) .. (looks at professor.) < 2
seconds>
Proff: tommorow morning 8 am.
(WG starts leaving)
Proff: ahh.. Ek baat aur detective. Be on time. “Only through time.. time is conquered”
………………………………………………………………………………………………
…………………………………………………….

SCENE 3:
Prof: (in deep thought) Ye to koi part time murderer lagta hai… wasie hamare mayor
sahab kaise hain?
WG: part time?
Prof: Obviously. Saare murder dates kinhi government holidays ya weekends se collide
kar rhi hain. Kaafi simple baat hai hmm… wo ek genius hai, shatir kooni hai … Serial
killing uska profession nahi, uska shauk hai!
Aur usne sahyad ye isse pehle kabhi nahi kia. Uska maksd kisi ka murder karne se zyada
apne aap ko test karna hai.
CSG: mtlb uska koi bada plan hai?
WG:aur tum ye sab kasie keh skte ho?
Prof: yee to saaf hee dikhai deta hai…
Pehla murder- kisi ke ghar ke andar… chup chaap posion deke… koi cameras, kisi
ke dekh lene ka dar, ya time boundations kuch nahi… koi risk nahi. Aaram se
kaam kia jaa skta hai
Doosra muder - ek hotel suite. Much more riskier. Fir bhi ek band darwaza aur
uske bahr ‘Do Not Disturb’ ka sign kaafi help karta hai.
Teesra murder - ek kanch ki deewaron waley corporate office ke andar… wo bhi
gunshot ke saath! Uske upar se waha pe baith ke khana khana… oooow! Thats
courageous!
Wo evolve kar raha hai… dheere dheere… har ek murder ke saath… and he’s
unstoppable!
WG: par wo ye sab kar kyun raha hai? I mean what’s the motive
CSG: un teeno logo mein hame koi mutual connection nahi mila hai..
Proff: hmm.. Yahi to tumhari galti hai… tum links dhund rhe ho… par uske pass koi
reason hai. Wo maar rha hai, kyunki uske paas nahi marne ki koi wajah nahi hai...
Wo jaanta hai usko koi pakad nahi sakta. His mind is freaking Satanic… sharper than it
seems, deadlier than just a kill
WG: Aur uske upar, he is cautiously testing his limits. Vo hr maut ke sath khud ko khud
ki nazaron me prove krna chahta hai!
CSG: to hum usko pakdenge kaise… follow up to kar nahi sakte.
Prof: the Show is over my boy..ab ye aap logo ka kaam hai..…
“Let your indulgence set me free…..”
WG: ehum. Follow up nahi kar skte… wo ek serial killer hai.ese serial killer achanak se,
ya galti se, ya jaldi me kuch nahi karte hain.
Uska har ek step, ek ek inch tak planed hota hai. To jab wo apna plan execute kar chuka
hai, Murder karke, evidences destroy kar ke jaa chuke hai .
(of course vo janta hai ki police ayegi)
to hum uske leftover ko sungh kar jo ki usne hamare lie usne chode hain, obviously uske
pass tak nahi pahunch sakte hain. And since hum uska peecha nahi kr skte, hame uske
raaste ko pehchankar, usse ek kadam aage nikal kar usko pakadna hoga. Aur isilie aap
yaha par hain proffesor.

Proff: (deep thought) hmmm… aap kisi serial killer ko ukse ghr pe nahi pkd skte. The
only time you guys have hope is the time when he exposes himself to the world. Its when
he hunts his next prey.

CSG: par aapne khud hee kaha ki wo pagal hai. Wo kisi ko bhi kabhi bhi uda sakta hai!

WG: nahi… there must be some methods to his madness.

Proff: City mayor. (music)

CSG: hain?

Proff: His next target. ab tak nahi samjhe? uska agla victim. A harder, more challenging
target. Agar mai uski jagah hota to shayad yahi karta. This city has become his forte. Aur
yaha pe mayor se bada to kuch nahi hai… (2 sec. pause)
Is murderer me kuch to alag baat hai.
Accha ye batayie, kya aap logo ne apne purane victims ke background check ko dhyan se
dekha? Kasie log hain wo? On moral and ethical grounds?
CSG: normal log hain, high profile elite people.

WG: Nahi. Entrepreneur jisne ruling party ke political funds sponsor karke apni
upholdoings ke upar se saari environmental clause ki investigations band karwa di, Us
Chef ke upar 2 mahine pehle food item import ke through smuggling ke charges they, but
he came out as clean as a whistle, and we all know how that works. aur wo corporate
lawyer jisko clash of interest me cases ladne ki wajah se debarr karne ki proceedings
chalne wali thi, but uska political support… huh… bar ki case open karne ki himmat hee
nahi hui. Agar ese dekha jaae to, hamare mayor air unke corruption charges… it can be a
possible target.

CSG: ye kya? Aap sirf allegations ke base pe baatein kar rhe ho? Kyunki isme se kuch
bhi proove nhi hua tha!

Prof: agr prove ho jaate, to murderer ka kya kaam ?

WG: ohh! To ab aap usko bhi ek vigilante ki tarah portray karna chahte hain?

Proff: kya aapko khud esa nahi lagta?

CSG: ha ha. mujhe nahi lagta ki is police station me koi aapke propoganda se influence
hone wala hai…

Prof: agar koi reasonable banda ho, to ho bhi skta hai. Aur yaha main apki baat nhi kr
rha

(everyone laughs)

CSG:Par jin charges pe aap apne opinions frame kr rhe ho... Ese to sabhi bade logo pe
hote hain… and unke peeche ka sach to public domain me pahucha hee nhi… to kya
murderer ke pass classified files ka access hai?

Prof: ho skta hai… par zaroori bhi nahi hai. Each victim was in newspaper a week before
their murders...and today our mayor is on front page. A hard to resist temptation.

CSG: To kya humko intelligence report bhejni chahie… mayor ki security badhane ke
lie?

Prof: Nahi, heuristics badeingi to murderer samajh jaega ki he is being tracked down. We
need to move discreetly. And I would suggest replacement of mayor’s ambience.

WG: clever. LIU agents ko employ karo, replace his driver, gardener, cook.. Sab kuch.

Prof: aur … agar possible ho to, bring our mayor into CCTV surveillance.
CSG: Hain! Murderer mayor hai kya??? Uski kahe investigation chal rhi hai !

WG: No, we need to make it harder for the murderer. Taaki wo zyada risks le.

CSG: (shocked) hum apne mayor ko bait ki tarah use karne ka plan bana rhe hain kya!??

Prof: EHUM. usko pata bhi nahi hoga. Aapke LIU agents hee agr murderer nahi hue, to
there is no way in hell ki wo mayor tak pahunche. Because as a murderer you can avoid
guards, you can’t evade people that you don’t even know are supposed to be evaded.

CSG: hame apne employees par pura bharosa hai sir…

Prof: fir bharosa rakhie, aapke mayor ki jaan ko koi khatra nahi hai. And it’s my word!

………………………………………………………………………………………………

SCENE 4 :
(Blackout siren flash, reveal death)

SP an CSG enter. CSG has a newspaper.


CSG throws it on his table.

CSG: ye dekhiye janab!

Proff: ye kaise ho sakta hai! CCTV me ya aapke agents ke pads to koi info hoga.

SP: Nahi hai. Ye bhi pehle walo ki tarah he tha. Kisi ne kuch nahi dekha and crime scene
pe bhi kuch nahi mila.

Proff: (confused) esa kaise? …. Kya mai ek baar crime scene dekh sakta hu?

CSG: nahi, aapki vacation khatam professor.

SP : hmmm… i am afraid ki hum aapko case me aur aage tk nahi include kr skte..

Aapko wapis apne cell me jaana hoga.

FINAL SCENE :
Proff: ye ye hua kaise!.??? Mera plan fullproof tha. Ese koi kisi ka murder kaise kr skta
h?
WG: maine kaha tha na, killer perfectionist hai?

Proff: par ye to possible hee nahi hai !...


Detective! do you trust everyone who was involved in the plan?

WG: huh! I don't trust anyone. But perhaps you do… ha ha ha

Proff: ( looks confused… in wg’s face… realisation draws… !!!) Youuu!


You were the one! Shit! How did i not see that! Ofcourse! You killed them all!
A government employee, access to classified files, lead detective on the case itself!
Bolo! Wo Tum hee ho na…!

WG: ofcourse. Par, isbaar aap late ho gye proff. Kaafi late. Kisi ko bhi apni baat smjhane
ke lie. Prove to aap kar nahi skte, us kaid ke andar se.Kya hai ek duniya fancy quotes ke
bahar bhi hoti hai. Ha ha.

Aur ye sach bhi ab aapke saath hee is solitary confinement me kaid rahega, hamesha ke
lie.
(Leans)
proffesor,
“ You know a thing about perfect murder, no one ever hears about it! ”

(Proffesor grabs his gun)

WG: arey proffesor, ye kya karne ki soch rhe ho? Aapko pata hai na, a bullet ryt now
from this hun, and 2 lives shall be gone.

Proffesor looks closely at his gun… isko


Chalate kaise hain? Suddenly raises his arms and shoots WG.
(WG Dead)
He cleans the gun and starts humming his old song…

-end-

You might also like