You are on page 1of 5

1.

US SHAKS SE SIRF ITNA TALAQ HAI FARAZ


WO JO HO PRESHAN HAMIN NEED NAHI AATE

2. Bus Woh ShakS Acha LaGa Ussey Saaf Keh Dala HuMNe “FARAZ”!
Dil Ki Baat Hai HuMSe MunafQaT Na Ho Saki.!
3. Meri Rooh Nikalne Wali Hogi

Meri Saans Bikherne Wali Hogi

Phir Daman Zindagi Ka Choote Ga

Dhaaga Saans Ka Bhi Toote Ga

Phir Wapis Hum Na Aayenge

Phir Hum se Koi na Roothe Ga

Phir Aankho’n main Noor Na Hoga

Phir Dil Gham Se Choor Na Hoga

Us Pal Tum Hum Ko Thaamo Ge

Hum Se Dost Apna Maango Ge

Phir Hum Na Kch Bhi Bolen Ge

Aankhain’n Bhi Na Kholen Ge

Us Pal Tum Ro Do Ge

Hum Ko Tum Kho Do Ge

1. Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain


So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain
Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain
Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain
ab usske shahar main tahren k kooch kar jayen
faraaz aao sitaare safar k dekhte hain

1. chamaktay chand ko tuta hua tara bana dala


the bright moon has changed into a broken star

meri awargee ne mujhko awara bana dala


my irresponsibility has made me a tramp

baDa dil kash baDa rangeen hai yeh shahar kahtay hain
they say this town is beautiful and colorful

yahan par hain hazaron ghar, gharon me.n log rehtay hain
there are thousands of houses, and people live in them

mujhe is shahar ne galiyon ka banjara bana dala


but this town has made me a vagabond in the streets

chamaktay chand ko tuta hua tara bana dala


the bright moon has changed into a broken star

mai.n is duniya ko aksar dekh ke hayraan hota hun


I am often amazed at the sight of this world

na mujhse ban saka chota sa ghar din raat rota hun


I could not make a small house, I cry day and night

KHUDAYA tu ne kaise yeh jahan sara bana dala


Oh God! How did you make this whold wide world?
chamaktay chand ko tuta hua tara bana dala
the bright moon has changed into a broken star

mere malik mera dil kyu.n taDapta hai sulaghta hai


My Lord! Why does my heart suffer and burn?

teri marzee teri marzee pe kis ka zor chalta hai


what force could possibly defeat your will?

kisi ko gul kisi ko tu nay angaraa bana dala


you made some into roses, and some into burning embers

chamaktay chand ko tuta hua tara bana dala


the bright moon has changed into a broken star

yehi aaghaaz tha mera yehi anjaam hona tha


this was the beginning, and it must also be the end

mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha


I had to be destroyed, I had to become futile

mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala


it was my destiny to be defeated by fate

chamaktay chand ko tuta hua tara bana dala…


the bright moon has changed into a broken star

1. Aaj bhi unhe pyaar karte hain hum,


har pal unka deedar karte hain hum,
woh na mile uska gum nahi…
par jiyen kaese kyunki aaj bhi utna hi yaad karte hain hum!
Haste the jinhe hasane k liye woh rulakar chale gaye,
apne dil se meri yaadein mitakar chale gaye,
kya gila karun khuda se…
jab apne dil ko khud tadpate chale gaye!
Raat bhar unhe pukarte rahe,
apne aansuon mein unhe dekhte rahe,
unhe ek pal bhi yaad na ayi humari…
aur hum unke intezar me tuta dil jodte rahe
Unke ehsas se dil laga liya humne,
unke bina saans lena sikh liya humne,
woh chale gaye wapis ane ka waada karke…
us wade k sahare hi jeena sikh liya humne!
Pyaar kiya tha humne…
dard bhari raah mili,
chaha tha jise…
usi se tohfe mein tanhayi mili,
khuda bhi ro pada mera tuta dil dekh kar…
koi yeh bata de kyun wafa k badle bewafai mili!
1. Rastey hain veeran sey,
Zindagi hai pareeshan si,
Yeh kaun si dagar hai,
Jo hai Anjaan si.
Kuch kahon bhi to kia,
Aankhein meri ab kuch kehti nahin,
Kuch sunoon bhi to kia,
Dil mera ab kuch sunta hi nahin,
Fasley ho gayey is kadar key,
Nazdeekian ab bhartii nahin.
khafa ho gayay woh is qadar key,
Durian ab ghatthi nahin.
Chahatton key is samandar mein,
Ayaa yeh kaisa tuufaan.
Mein khudh ko khojta raha aur,
Manzilein kho gayein.
Yun taqdeer ney hum sey,
Khela aisa khel.
Manzil ki talash mein they hum aur,
khudh apna hi pata bhool gaya…

1. Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga


Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker


Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai


Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna


Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tu Falak ki tarha chaya tha Mujh per


Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga

1. Duur Kahin Rehtay ho kahin


Dil Mein meray Bastay kyon nahin
Dard mein Doobey Rehtay ho kahin
Khwabon mein meray Bastay Kyon Nahin
Duur Kahin rehtay ho Kahin

Char Diware Kehte hay yahi


Chal udd Jayein Dil kay Sath kahin
Faasley yeh kam hotey hi nahin
Faasley kyon kam hotey hi nahin
Duur kahin rehtay ho kahin
Dil mein meray Bastay kyon nahin
Chahat Dil ki bantey hi nahin
Dard mein Doobey rehtay ho kahin
Dil mein meray bastay kyon nahin
Jaan na payee tughko hum kabhi
Jaan patey to rok latey tughko hum Yahin
Duur kahin………..

Waqt kay sath chaltey ho kahin


meray sath chaltey hi nahin
Jo chalogey hamare sath tum agar
Chodaingey na tera sath hum kabhi
Duur kahin rehtay ho kahin………
Dil mein meray bastay kyon nahin

You might also like