You are on page 1of 4

Tajweed

Tajweed ki taarif
Har harf ko us key MAKHRAJ sey nikalney aur us ki tamam sifaton ke sath ada karney
ko Tajweed kehte hai.

Tajweed ka mauzoo
Huroof-e-hija yani ( ) etc.

Tajweed ka faida :
Doono jahaan ki nek bakhti ka haasil hona.

Tajweed Ki Garz-o-ghayat
Quran-e-kareem ko sahi padhna aajae is tarha nabi-e-kareem sallalla-hu-alaihi wasallam
se manqool hai.Uski mukammil itteba ho jaaye.

Tajweed Ka hokum
Quran-e-kareem padhney wale par tajweed seekhna waajob aur farz-e-ain hain.

Tajweed Ke Arkaan
Tajweed ke 4 arkaan hain
1. Makharij-e-huroof.
2. Sifat-e-huroof.
3. Un ke ehkaam ko pehchanna jo harf ko tarteeb ke ittebar se pesh atey houn.

Makhraj maloom karne ka treeqa


Jis harf ka makhrah maloom karma ho us harf ko sukoon ya tashdeed de kar us se pehle
zabar wala humzah le aao. Jis jagah awaaz ruk jaaegi wohi uska makhraj hain.
Jaise:

Tilawat key teen aham faidey According to Hadees:


1. Dil ka zang door hota hai.
2. Allah ta’ala ki mohabbat mein tarakki hoti hai
3. Har har harf per dus dus nekiyan milti hain. Bina samjhey padhney par bhi. Agar
koi ye kahey ki bina samjhey padhney sey koi faidaa nahi to wo beydeen , jahil ya
dono batein hai.

Tilawat ke do aham aadaab:


1. Padhney wala dil mein ye khayal kare ki Allah ta’ala ne hukum diya hai sunao
kaisa padhte ho.
2. Sunny wala dil mein yeah khayal karke padhey Ahkamul Hakmeen aur Azmath
who muhabbat ke saath sunna chahiye.
Makhraj ka bayan
Alif Muh ka khali hissa

Ba Dono Hoton ki tari wala hissa

TA Zabaan ki nowk sana-e-ulya ki jaga.

SAA Zabaan Ki nowk sana-e-ulya ka hissa.

JEEM Zabaan ka beech aur ouper ka taalu

HA Beech halaq

KHA Akhri halaq jo muh ki taraf hai.

DAAL Zabaan ki nowk sana-e-ulya ki jaga

ZAAL Zabaan ki nowk sana-e-ulya ka kinara.

RA Zaban ka kinara, ma(with) kuch hissa pusht-


e-lissan(zaban) jab ki miley sana-e-
ulya(ouper ke dono dany) rabayi ke
masoodon se.
ZAA Zaban ki nowk aur sana-e-sufla (neeche ke
dono dant) ki jaga mey ittesal sana-e-ulya
ke.
SEEN Zaban ki nowk aur sana-e-sufla ki jadh ma
ittesal sana-e-ulya ke..

SHEEN Zaban ke beech aur ouper ka talu.

SWAD Zaban ki nowk aur sana-e-sufla ki jagah


mey ittesal sana-e-ulya ke.

ZWAD Zaban ki karwat (Curve) aur us key muqabil


ouper ke daanton ki jagah.
TUA Zaban ki nowk aur ouper key dono daantoon
ki jagah.

ZUA Zaban ki nowk aur ouper ke dono daanton


ka kinara.

AIN Beech Halaq ( Lower Pharynx).

GHAIN Aakhri Halaq ( Upper Pharynx).

FAA Ouper ke dono dantoon ka kinara aur niche


ke honte ki tary wala hissa.

QUAF Zaban ki jadh aur ooper ka taalu.

KAAF Zaban ki jadh ki ibteda aur ooper ka yaalu


(Quaf ke makhraj se zara hat kar narmi ke
sath)
LAAM Zaban ka kinara aur zaahik se doosre zaahik
tak ouper ke dono daanton ke masoode.

You might also like