You are on page 1of 3

Arthritis

Introduction

Gethiya wo aam bemari hai jo jorron ki sozish aur dard ka sabab banti hai. Ye marz her umer ke
shakhs ko mutasir krny ki qowat rkhta hai phir chahy wo bacha ho, jawan ho ya phir boorha.

Ghetya ki iqsaam

Ghetya ki do bhot aam iqsaam hen. Jin mein (osteoatthritis) “wrm mufassil oazam” aur
(rheumatoid) “rameti” shamil hen.

Osteoarthritis

Osteoarthritis (wrm mufassil oazam ) ghethya ki wo kism hai jo bhot se logo me payi jati hai.
Amooman ye un logo ko zyada mutasir krti hai jin ki umer 50 saal se zyada ho. Taaham zakham
lagnay ya joro ki hi kisi aur takleef k sabab ye bemari umer k kisi bi hissay me asar andaz hoskti
hai. wrm mufassil oazam (Osteoarthritis) ibtidai tor per joor ki narm haddi (smooth cartilage)
walay hissay ko mutasir krti hai. Jis ki waja se jism ke mutasira hissay ko herket dena sakht hony
ya akar Janay ki waja se takleef ka sabab bnta hai. Is ke sabab jor ki narm haddi (smooth
cartilage) kamzoor hojata hai aur jism ke raishay (tissues) mazeed mutaharik hojaty hen. Jis k
nateejay k tor per haddi ka ubhar (OSTEOPHYTES) aur joro ki sozish jaisi takaleef ka samna
krta parta hai.

Wrm mufassil ozam hadiyon k beech unhen jorray rakhny wala resha (cartilage (connective
tissue) ko ahisa ahista khtam krna shrou kr deta hai. Jis ki waja se joro ki hadiyan apis me ragar
khati hen. Is bemari se sub se zyada hatho, ghutno, reerh ki hadi aur kolho ke jor mutasir hoty
hen.

Rheumatoid arthritis

Ye bemari amooman tab apna asar zahir krti hai jab insan 40 se 50 saal ki umer pe pohnchta hai.
Is marz k hony ki imkanaat orton me banisbat mardon k 3 gunah zyada hoty hen. Rameti
(rheumatoid) aur wrm mufassil ozam (osteoarthritis) do bilkul mukhtalif iqsaam hen. . Rameti
(rheumatoid) tab asar andaz hota hai jab jism ki qout mudafiet asar zada joro ko hadaf bnana
shrou kr deta hai. Nateejatan joro me takleef aur soozish numayan hona shrou ho jati hai. Jorro k
opper ki tehh (synovium) sub se pehly asar andaz hoti hai jis k bad takleef pury jor me phel jati
hai and nateejatan na sirf sozzish aur jor k bazahir shakal me tabdeeli ka sabab bnti hai. Balkay
Ye keefiyat sakht aur kurkuri haddi (cartilage) tak ko khokhla kr deti hai. Is bemari is mutasira
logo mein bhot si dosri pecheeda kefiyat bi nashonuma panay lagti hen jo jism k deegar hisso ki
hadiyo aur resho ko mutasir krti hen.
Gethiya ki doosri iqsaam aur mutaliqa kefiyat

Ankylosing spondylitis – Ye taweel mudati keefiyat hai jis me soozish roonuma hoti hai aur sub
se zyada haddio, patho aur reerh ki hadi k narm resho (ligaments) ko mutasir krti hai. Jis k sabab
mutasira hisso me sakhti ajati hai. Is ke ilawa ankho, jism k baray joro, patho aur haddi ko
milanay walay reshy me sozish peda krti hai.

Cervical spondylosis – anqi mehra ki bemari jisy degenerative osteoarthritis bi kaha jata hai wo
bemari hai jis mein joro ki narm (kurkuri hadi) aur sakht haddi toot jati hai, jis ki waja se jorro
me sakhti aur takleef numayan hoti hai, iske ilawa ye bemari garden ke us hissay ko jo reerh ki
hadi se munsalik hota hai mutasir krti hai. jis k waja se jorro me sakhti aur tkleef ka sabab bnti
hai.

Fibromyalgia – Ye jism k patho,hadi aur patho ko milany walay raishay aur jorro ki haddiyo me
takleef peda krti hai.

Lupus – autoimmune (autoimmune us kefiyat ko kehty hen jab jism ka apna mudafiati nizam
uske resho ko hadaf bnata hai) keefiyat mein jism k mukhtalif oazha aur reshay mutasir hoty hen.

Gout – ye ghtiya ki wo kism hai jis mein jism mein uric acid ki miqdaar had se tajawuz kr jati
hai. Ye sub se zyada jism k jorro (khas kr pairo k angootho) pe asar andaz hoti hai. Lekin iske
ilawa bi ye kisi bi jor me namudar hoskti hai. Is ki waja se shadeed sozish aur takleef sehni parti
hai.

Psoriatic arthritis – ye wo keefiyat hai jis me jorro me soozish namudar hoti hai aur khas kr un
logo ko hadaf bnati hai jo chunbul ka shikar reh chuky hon.

Enteropathic arthritis – ye wo daimi, sozish peda krny wala gethiya hai jo anto ki sozish ka
sabab bnta hai. Is ki do sb se aam iqsaam “bari ant ka soojh jana” (ulcerative colitis) aur crohon
ki bemari (jis me sb se zyada jism ki pecheeda ant mutasir hoti hai) hai. 5 me se 1 log jo in dono
me se kisi bi bemari me mubtila hon, wo is kefiyat ka shikar hoskty hen. Is bemari se sub se
zyada mutasit hony walay auzha berooni hisso ke jorr aur reerh ki had hai.

Reactive arthritis – ye kefiyat na sirf jorro me soozish ka sabab bnti hai balkay ankho aur
peshab guzarnay wali naali me bi sozish peda krti hai. Iski mukhtalif wajoohaat hen, jin mein
aanto ka infection, jananag ki nali aur kabhi kabhar galay ka infection shamil hai.

Secondary arthritis – ye wo keefiyat hai jo khas kr jorro k zakhm k bad peda hoti hai. Kabhi
kabhar zkham lagnay k kai saal bad is bemari ki kefiyat namoodar hona shrou hoti hai.

Polymyalgia rheumatica – ye wo keefiyat hai jo khas k bari umr k logo ko mutasir krti hai jin
ki umr 50 saal se zyada ho. Is halat mein jism ka mudafiati nizam patho me takleef, sakhti aur
jorro me soozish ka sabab bnta hai.

Symptoms of arthritis (gethiya ki ilamaat)


Gethiya ki ilamaat is ki mukhtalif iqsaam k hisab se alag alag hein. Isliye ye zaruri hai k
muderaja zel ilamaat me se kisi ilamat k numayan hony per fori moayina karaya jaye.

 Patho me narmi, takleef ya sakhti


 Jorro me ya inke ird gird sozish
 Jorro ko hilanay me mushkil ka samna
 Mutasira jorr ki jild ka garam aur surkh hojana
 Jism aur patho ki kamzori

You might also like