You are on page 1of 4

RELIGIOUS

Ek Panditji mantroccharan karte hue jaldbazi mein gamcha


daalte hue ghar se nikalte hain.. bike mein kick maarte hain
aur nikal jaate hain.. bike ka tyre keel ke upar chadh ke
nikal jata hai.

CUT TO.

ek bacche ki chappal toot jati hai.. baccha chappal uthata


hai aur idhar udhar dekhta hai.. chappal wapas pair mein
pehenta hai aur chal deta hai.

pandit gali koochon se nikalta hua ja raha hai logon se ram


ram karta hua ja raha hai.

baccha tooti chappal pehene hue ja raha hai lekin use chalne
mein pareshani ho rahi hai isliye ek jagah road par ruk jata
hai.. saamne se use pandit bike pe aata hua nazar aata hai..
baccha pandit ko rokta hai.

BACCHA
uncle.. uncle

PANDIT JI
kya hua?

BACCHA
uncle aap mujhe masjid tak chor denge…
meri chappal toot gayi hai..

masjid sunte hi pandit ke kaan khade ho jaate hain.

BACCHA
aaj jumma hai na.. ammi ne kaha hai
agar main namaz padhunga toh allah
meri sari galtiyon ko maaf kar denge

PANDIT JI
main masjid nahin mandir ja raha hoon

BACCHA
mandir.. mandir kyun?

PANDIT JI
jaise tum namaz padhne masjid jaa rahe
ho waise hi main pooja karne mandir ja
raha hoon

BACCHA
accha.. aapne bhi koi galti ki hai?

Created using Celtx


2.

PANDIT JI
aisa aavashyak nahin ki galti karne
karne par hi mandir ya masjid jaaya
jaaye

BACCHA

Panditji uski chappal dekhte hain….fir use dekhte hain

PANDITJI
Kon Chacha!..Umashankar naam hai
mera…main tera koi chacha wacha nahi
hoon. chal hat

pandit jaane lagta hai.

HARUN
Nahi nahi aap galat samajh rahe
hain…Wo hum apne bado ko chacha keh
dete hain.. isliye aapko bhi keh
diya.. main baith jau?(pichhli seat pe
badhte hue)

PANDITJI
Arre Kahan baith jau? utar neeche...
mujhe kya pata tu kis taraf jaayega?

HARUN
Yahin bas.. Masjid pe utaar dena aap

PANDITJI
Main koi Masjid wasjid ki taraf nahi
jaa rha...

Panditji kick maarne lagte hain….

HARUN
Aap wahi toh ho.. jo masjid se teen
makaan aage rehte ho….Ram Singh Uncle
ke makaan mein…

Panditji use dekhte hain….

PANDITJI
ab nahin rehta.. Wahan se khaali kar
diya maine

HARUN
Par subah toh aap wahin se nikle
the…maine dekha tha aapko…

Created using Celtx


3.

pandit ko gussa chadh jata hai.

PANDITJI
Arre keh toh diya ab nahi rehta..
peechhe hi pad gaya.. Masjid tak jaana
hai toh bol kisi apne se...jab musibat
mein hote hain toh hum yaad aate
hain... huh!

jaise hi kick maarta hai pichle tyre ki hawa nikal jati hai..
harun aur pandit tyre ki taraf dekhte hain.. Itne mein Harun
ke jaanne waale 2 bande aa jaate hain bike par.

RAFIQ
Arre Harun kya hua?

HARUN
Kuchh nahi main Masjid jaa raha tha…
lekin raaste mein chappal toot gayi…

RAFIQ
Aa baith ja main chor deta hoon

harum pandit ki taraf dekhta hai.. pandit nazrein churata


hai.. Harun baith jaata jaata hai.. rafiq harun ko notice
karta hai ki wo pandit ko dekh raha hai.. rafiq notice karta
hai ki pandit ji kuch pareshan hain.

RAFIQ
pandit ji kya hua?

HARUN
pandit ji mujhe lift dene wale the
lekin inke tyre ki hawa nikal gayi

pandit harun ki taraf dekhta hai.. harun pyari si ek smile


deta hai.

RAFIQ
arre Panditji aisa karo aap apni bike
chhod do aur ispe baith jao….Ashraf
aisa kar Panditji ki bike theek karwa
ke Masjid pe le aa hum tujhe wahin
milte hain….aa jao Panditji….

Panditji naa nukur karne lagte hain...

RAFIQ
Arre baitho Panditji pareshan mat ho..
aapki bike Ashraf theek karwaake le
aayega

Created using Celtx


4.

PANDITJI
Lekin!

RAFIQ
Arre Lekin wekin kya...musibat mein
insaan hi insaan ke kaam aata hai...
aap baitho!

Panditji baithte hain Harun Panditji ko dekh ke muskurata


hai...fir Panditji bhi muskurate hain.

THE END

Created using Celtx

You might also like