You are on page 1of 1

http://aniket_d.blogspot.in/2008/04/need-ka-nirmaan-phir-phir.html Need Ka Nirman Phir Phir, Neh Ka Ahvan Phir Phir.

Yah Uthee Aandhi Ki Nabh Mein Chha Gaya Sahasa Andhera, Dhooli Dhoosar Badalon Ne Bhoomi Ko Is Bhaanti Ghera, Raat Sa Din Ho Gaya Phir Raat Aayee Aur Kali. Lag Raha Tha Ab Na Hoga Is Nisha Ka Phir Savera. Raat Ke Utpaat Bhay Se Bheet Jan Jan Bheet Kan Kan, Kintu Prachi Se Usha Ki Mohini Muskaan Phir Phir. Need Ka Nirman Phir Phir, Neh Ka Ahvan Phir Phir. Kruddha Nabh Ke Vajradanton Mein Usha Hai Muskaraati, Ghor Garjanmay Gagan Ke Kanth Mein Khag Pankti Gaati. Ek Chidiya Chonch Mein Tinka Liye Jo Jaa Rahi Hai, Vah Sahaj Mein Hi Pavan Unchaas Ko Neecha Dikha Rahi Hai. Nash Ke Dukh Se Kabhi Dabta Nahin Nirmaan Ka Sukh Pralay Ki Nistabdhata Mein Srushti Ka Navgaan Phir Phir. Need Ka Nirman Phir Phir, Neh Ka Ahvan Phir Phir. weh chale jhonke ki kampe bheem kayavaan bhoodhar' jad samet ukhad pukhad kar gir pade tute vitapvar hai! tinkon se vinirmit ghoslon pe kya na beeti dagmagaye jabki kankad eent pathar ke mahal ghar. bol aasha ke vihangam, kis jagah par tun chhupa tha' jo gagan par sar chadhata, garv se sir taan phir-phir. needh ka ....

You might also like