You are on page 1of 1

Banaras

Koi tasweer aisi bane to bana Jo banaras-banaras-banaras lage... Sir kangoore ki topi lagaaye hue Apni masti mein sub kuchh bhulaye hue Awgudon ko bhi sir par chadhaye hue Shiv ki Baarat mein Shiv banaye hue Jisme lagti hon galiyan, ghamni aur shira Jisme basti ho bharat ki sari disha Ghat ka thathka aur hunar ka shahar Bel-bute, khilaune chunar ka shahar Saand, sanyasiyon, seedhiyon ka shahar Peedhiyon, peedhiyon, peedhiyon ka shahar Jo trikantak ke trishool par ho ada Jis ka itihas, itihas se bhi bada Ikke tange abhi tak chalata hua Desh pardes, sabhi ko lubhata hua Ganga jal aur chabene mein rahta magan Iske thenge pe duniya ke saare ratan Apni pasti mein bhi dikhta be-fiqar Gaon adha to adha ho lagta shahar Mauj-e-ganga ki godi udata shahar Jhankar ghont kar ke aghat shahar Pan khata, thahake lagata shahar Ho kabeera aur tulsi ka pyara shahar Par hamara shahar ho tumhara shahar

You might also like