You are on page 1of 11

Reunion…

By SGP 2009
www.xforum.com

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
Sochne ko toh main kuch bhi soch loon aur koyi mujhe rok bhi nahi sakta lekin sach toh wahi
rahega, jo hai…mere sochne-vicharne se sach nahi badal sakta ….waise meri zindagi me kayi
aise sach the jise badalne ke baare me main aksar socha karta ki kash ye chiz aisi hui hoti toh
thik rahta…wo chiz waisi hui hoti toh sala maza hee aa jata aur meri isi soch me do aur log
shamil the… mera dost Deepak Bhagat aur mere college ki sabse khoobsurat ladki Sana
Siddique… main chahe jitni koshish kar loon, jitna bhi apne dimag par jor dal loon.. main ye sach
bilkul nahi badal sakta ki main Sana se bahut pyar karta hoon aur Deepak bhi…. shayad mujhse
bhi jyada… jo main is waqt Deepak ki aankho me dekh sakta tha.

Kahne ko toh Deepak mera bahut khas dost tha aur wakayi me khas tha bhi kyunki mere sare
dosto me sirf wahi ek aisa tha jo haklata tha… main use aaj 8 saal baad dekh raha tha aur yadi
main ya phhir wo…hum dono me se koyi ek bhi reunion me na aaya hota toh shayad hee
humari mulaqat phhir kabhi ho pati… Reunion ke programme me college pahuchte hee kayi
dost mile, jinme se kuch mere khas the toh kuch aise hee faltu me friend list badhane wale…
jinme se adhiktar ke name main bhool bhi chuka tha par unse hath milate waqt aise react kar
raha tha, jaise main yaha sirf aur sirf unhi ke liye aaya hua hoon…

Toh reunion ka programme shuru hua khud ko introduce karane se aur jo sabse pahle stage me
gaya usne apna introduction kuch yun diya…

“Good evening, gentlemen and gentlewomen…myself Arman… sounds boring ? ok call me ,Shri
Arman… A-R-M-A-N not A-R-M-A-A-N…main 8 saal pahle yaha se paas out hua aur jab main
yaha se pass out hua toh mere hath me char job ke offer the…jisme se ek foreign company bhi
thi aur pichhale 8 saal me main kaha se kaha pahucha, ye main tumhe nahi bataunga kyunki
tumlog jealous feel karoge, tumhari bhavnaye hurt hongi…tumhari biwiya mujhse impress ho
jayegi aur…chhodo bhi, par ye zaroor sochna ki 560 students me se mujhe hee sabse pahle kyun
khud ko introduce karne ke liye kyun bulaya gaya…? kuch meri tarah dhang ka kaam-dham karo
be… Nallo…bye aur dil pe mat lena….muh me lena…The Name is AR-Man….Arrogant REPUTED
MAN”

“he’s still too arrogant..”maine khud se kaha….

Toh finally Arman ke introduction se reunion chalu hua…uske baad pure mehfil ne jo shama
bandha us-se mujhe kafi khush hona chahiye tha, shirt utar kar langar dance karna chahiye

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
tha…bhaka-bhak daru ki kayi botal khatm kar deni chahiye thi, apne college ki hot ladkiyo se
flirting karni chahiye thi…stage me nanga nachna chahiye tha, lekin mere dil-o-dimag ko do log
is samay jakde hue the jisme se ek thi Sana Siddaqui aur dusara tha Deepak… jo mujhse thodi
door me akele khada tha, thik waise hee jaise wo farewell ke waqt tha…. par hamesha se aisa
nahi tha, iski shuruat final year me us din se hui jis din Deepak bhagte-bhagte hostel me aaya
aur hafte hue mujhse bola…

“Aaaaatul, confirm… I laa..laa…love her, i…i… love Ssssssana , use samne dekhkar hee mera
chehra laal ho jata hai..mera dil aise dhaa…dhaa..dhadakne lagta hai,jaise pahle kabhi
dha..dhadka hee na ho… main us-se bahut kuch kahna chahta hoon, par use dekhte hee itna
ghabra jata hoon ki co..co..corridor me uske baju se nikalne ki himmat tak nahi hoti… upar se
main thahra ek hakla, mujhe dar hai ki kahi main ghabrahat me pura I love you bhi bol paunga
ya nahi ”

“maine pahle bhi kaha hai ki tu kyun uske peechhe pada hai… wo bahut high level ki bandi
hai…tere se nahi pategi…”apne mobile me Sana ke messege ka reply karte hue maine kaha…

“pa…parr yar, main us-se pyar karta hoon… tu toh dekhta hee hai ki ka..ka..kaise raat-raat bhar
mujhe neend nahi aati…har raat main uske ba..ba..baare me sochta hoon…har raat ye sochta
hoon ki wo kal kya pahan kar aayegi, kal kaise dikhegi au..au..aurr main kaun se kapde pahnu
jis-se wo impress ho jaye… main sach kah raha hu, yadi wo mujhse ek baar haske baat bhi kar le
toh bahut hai…mere liye wahi bahut hai… main janta hoon ki main uske layak nahi hoon, lekin
kya karu din-raat dimag me wahi chhayi rahti hai, yaha tak ki sone ke baad bhi usi ka
sa..sa..sa..sapna aata hai… kabhi-kabhi toh kha..kha…khaaaa….khaaaayal aata hai ki main kisi
tarah coma me chale jaun aur sapne me uske sath rahu… yadi wo mujhe I love you bol de toh
meri mummi kasam main engineering chhod dunga…”

“tere se jo ho wo tu kar le…mere paas itna time nahi hai, waise bhi mera kal interview
hai”maine Deepak se kaha aur mobile me good night messege likhkar Sana ko chipkaya aur
sone chala gaya… par Deepak nahi soya, wo mujhe bahut der tak dekhta raha aur phhir light
band karke khidki ke paas rakhi chair me baithkar Sana ke baare me sochte hue bahar dekhne
laga aur main aisa kah sakta tha kyunki wo mera dost bhi tha aur room partner bhi…

Wo har raat yahi karta tha, wo aise hee apni har raat jagte hue khidki ke bahar dekhkar Sana ko
sochane me bitaya karta tha…Deepak ka ye ektarfa pyar har din badhte hee ja raha tha… wo
har kisi se , har waqt…. Class me, Canteen me, Lab me, library me yaha tak ki bathroom me
nahate waqt bhi Sana ke baare haklate hue puchhta… jis-se aksar log uska mazak bhi udate the,
par use is-se koyi fark nahi padta tha, ya wo Sana ke peechhe itna pagal tha ki use samajh hee
nahi aata tha ki uske dost uska hee mazak uda rahe hai aur unke un dosto me main bhi ek

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
tha…jo uska mazak udate the…Sana ke pyar me raat bhar jagne ke karan uski common sense
bhi jawab deni lagi thi…wo class me aksar apna attendance dena bhool jata tha aur phhir beech
me khada hokar teacher ko blame karta ki unhone uska name jaan-buchkar miss kar diya hai.
kayi baar toh usne is matter par professors ke sath argument bhi ki…wo bhi hakla-hakla ke… jis-
se puri class me uska hee mazak bana lekin Deepak nahi mana aur professor se ladta hee raha
jis-se tang aakar professor ne use hod ke paas bhej diya…. Lunch me Deepak hod ke cabin me
gaya, humlog bahar hee khade the par andar hod dwara Deepak ko jo fatkar mili thi use hum
sabne suna… hod ne lagbhag ek ghante tak Deepak ko tochan diya aur phhir Deepak bahar
aaya…

“Deepak, kya bola sir ne… tere chehra itna murjhaya hua kyun hai”

“chehra toh Sssssana ke pyar me murjhaya hai do..do..dost, baki hod ne kya kaha mujhe kuch
samajh hee nahi aaaaiaaya…. Bas last line unki ye thi ki….main teri degree rok dunga.. khair
chhod, ye bata Sssssana dikhi kya… ek ghante se nahi dekha use, last time jab de..de..kha tha
tab class me wo koyi notes bana rahi thi aur uska pen ru..ru..ruk-ruk kar chal raha tha…jiski
vazah se use kafi pareshani ho rahi thi…ye le mera pen deeeekar aa use…”

“tu khud kyun nahi de deta…use”

“pagal hai kya, us-se main itna ghaa..ghaa..ghabarata hoon ki uska name tak toh bina haklaye
liya nahi jata, use pen kya dunga… usne mujhe thank you bola toh main ghabrahat me welcome
bhi nahi kah paunga…tu de de… waise tune aaj dekha, class me wo peechhe mud-mud kar
mujhe dekh rahi thi… lagta hai wo mujhe pasand karne lagi hai…tu..tu…tuuuuuujhe kya lagta
hai….pategi…”

“pata nahi…”use dekhkar maine kaha…sach kahu toh mujhe dil se bura lag raha tha Deepak ke
liye, lekin main use ye kaise batata ki Sana aaj class me use nahi balki mujhe dekh rahi thi…

Itne me pure mahol me taaliyo ki gunj ek baar phhir se uthi , ab mere batch ki ek behad hot
ladki Aoorva khud ko introduce karane ke liye stage par gayi thi jo Bhabha Atomic and Research
Center me bataur scientist thi…usne ekdum shaleen dhang se apna presentation diya aur jaisa
ki usne bataya tha uske according wo next month Japan jaane wali thi….iske baad koyi aur gaya
aur ye kram aise hee aage badhta raha aur main phhir apne ateet me kho gaya… jaha mujhe
Deepak ka pen Sana ko dena tha…

“Sana, tumhara Pen , mera matlab tumhare liye pen…tumhara pen nahi chal raha tha
na…”muskurate hue uske sabhi friends ke beech jakar maine Sana ko pen diya..

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
“thank you, tumhe kaise pata chala…”apne gaal par dimple ka formation karte hue Sana
puchhi…

“sixth sense…”collar upar chadhate hue maine jawab diya

“thank you again…bye…”

“bye…itni jaldi..”

“itni jaldi…? Toh kya mera notes likhkar jaoge…?”

“ok bye…”

Ye bolkar main waha se Deepak ke paas aaya, wo is samay itna khush ho raha tha, jaise
Ssssssana ne…iski toh, main Deepak ki tarah kyun hakla raha hoon, ye sala Deepak ke sath
rahne ka asar hai ya phhir main bhi Sana se pyar karne laga hoon….? Anyway, Deepak us samay
itna khush hua tha jaise Sana ne uska pen nahi balki uska proposal accept kar liya ho…

Aaye din Raat bhar na sone ki vazah se Deepak ki aankho ke neeche kala dhabba padne laga tha
ab wo mushqil se pure din me sirf 2-3 ghante hee sota tha…usne cigarette bahut jyada peeni
shuru kar di thi, itni jyada ki kabhi-kabhi subah mujhe cigarette ke 2-3 packet farsh par dikhte
the aur jab main us-se cigarette band karni ki salah di toh wo bola….

“mai..main cigarette isliye nahi peeeeee….peeee…peeta kyunki mujhe iski talab hai….main toh
apne seene se Ssssana ki yaadein dhue me badalkar bahar fek raha hoon…exhaust process”

“toh tera dard kam hua…”

“ssssala wahi yaad oxygen ke roop me phhir se wapas aa jati hai…intake process”

Sssssana….sorry , Sana...Sana aur cigarette ke aalawa Deepak ko ek aur chiz ka shauk lag tha wo
aksar library se pata nahi kaun-kaun si kitaabe lakar padhta rahta tha…wo mujhe bhi aisa karne
ki salah deta, lekin maine uski wo salah kabhi nahi li…wo aksar mujhe “frame of refrence” ke
baare me bataya karta tha, tarah-tarah ke example diya karta tha… jisme do object aapas me
badal jate hai.. jis-se main kabhi-kabhi itna bore aur frustrated ho jata ki main apne room tak
nahi jata tha. is tarah ab Sana ki yaad aur cigarette ke aalawa wo purani kitaabe bhi Deepak ki
virani raat ka sahara thi….. Deepak ki zindagi ab itni viraan ho chali thi ki wo ab raat-raat bhar
jagkar purani files me se practical copy karne laga tha….wo pahle apni files complete karta aur
jab uski complete ho jati toh wo class ke baki ladko ki files bhi maang-maang kar complete
karne lagta…jis-se ek fayda Deepak ko ye hua ki uspar ab bahut hee kam log haste the…. Par
main janta tha ki Ssssana ke karan uski halat din-ba-din bad se badtar hoti ja rahi thi… uska

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
common sense toh ab bilkul bhi common nahi tha, wo kahi bhi kisi se bhi Sana ke baare me
puch leta tha… yaha tak ki ek baar beech class me usne professor se puch liya… us samay toh
hum logo ne kaise bhi karke baat ko ghuma-firakar use bacha liya… lekin wo yahi nahi ruka…

Remember , the name…Arman. Wahi jisne sabse pahle reunion ke function me khud ko
introduce kiya tha aur baki sabko nalla bolkar sabki insult ki thi. well, wo college se hee aisa
tha… ek tarah se college ka gunda tha ,jo hostel ke ladko ki support se aaye-din maar-peet karte
rahta tha.Deepak ne Sana ke bare me Professor se puch kar itni badi galti nahi ki thi, jitni ki
usne ab kar di thi…. lunch me main Deepak ke sath Canteen me baitha tha aur aaj Sana college
nahi aayi thi, jispar usne mujhse kayi baar puchha aur uske baar-baar sawal se tang aakar gusse
me maine use kah diya ki Sana mar gayi… par problem ye nahi thi ki maine aisa kaha…problem
ye thi ki us hakle ne is baat ko sach maan liya aur ab jab se maine Canteen me use “ Sana mar
gayi” kaha tha wo waha mauzood har kisi se yahi puchh raha tha ki “ Sana sach me mar gayi
kya…” aur isi dauran usne Canteen me ek ladki ke sath baithe Arman ko chhed diya, mujhe ab
bhi yaad hai ki Arman jiske sath us din canteen me baitha tha wo kuch dino pahle hee Arman se
set hui thi,jiske peeche Arman salo se pagal tha aur in mahashay ne Arman ko jakar chhed
diya….

“Arrrrrrr…man. Sssssana mar gayi kya…”

“mar gayi, wow…achchha hua…Sali mujhe attitude dikha rahi thi… kahi maine hee toh use nahi
mar diya aur baad me bhool gaya hoon..khair.. chal khisak le, ab yaha se ”

“tune Sssssna ko mara…Sssssana ko mara… maaara tune…Ssssana ko…”gusse se thar-tharate


hue Deepak ne Arman ka collar pakad kar kaha…jiske baad mushqil se do seconds hee beete
honge ki Arman ne Deepak ki gardan ko dabocha aur back to back do-teen baar waha saamne
rakhi lohe ki table par uska sar de mara….

Deepak ka sar table par marne ke baad Arman waha se chala gaya aur main turant bhagkar
Deepak ke paas gaya… Deepak apna sar table par rakhe hue…hafte hue…rote hue wahi chair
par baitha tha…uske sar se khoon nikal kar table par bah raha tha iske bawzood wo rote hue sirf
ek hee line baar-baar dheeme-dheeme swar me dohraye ja raha tha….ki “Sssssana mar
gayi…Ssssaaana mar gayi…”

Phhir thodi der baad usne rona band kiya aur table par phaile khoon me apni ungali dubo-
dubokar table par Sana ka name likhe laga…. uski is harqat ne mujhe andar se jhakjhod ke rakh
diya ki ye sab meri galti hai… na toh maine us din kuch kiya tha aur na hee main aaj kuch kar
raha tha…. mujhe aisa nahi karna chahiye tha, par maine kiya aur pure dil se kiya…

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
isi beech taaliya ki gunj ek baar phhir se pure vatavaran me gunj uthi abki baar ek aur shaks
stage par gaya aur jaisa ki abhi tak sab apne-apne baare me bata rahe the usne bhi apne baare
me batana shuru kiya aur khud ki taarif kar rahe in logo ki bakwas par jyada dhyan na dete hue
maine khud se thodi door me khade Deepak ki taraf dekha… uska dhyan peechhe apne friends
ke sath baithi Sana ki taraf tha, wo non-stop bina palak jhapkaye Sana ko dekhe ja raha
tha…use aaj bhi Sana se bahut kuch kahna tha, jo use us din parking me kahna tha… wo us din
bhi ghabra raha tha aur aaj bhi uski ghabrahat waisi hee thi aur main aisa kah sakta hoon kyunki
us din parking me main bhi Deepak ke sath waha tha aur Deepak ki tarah main bhi Sana ke
bahar aane ka badi besabri se intejaar kar raha tha…

main is waqt Deepak aur apne dosto ke sath parking me khada baat kar raha tha ki Sana apni
friends ke sath college se bahar aayi aur bahar aate hee jab usne mujhe dekha toh apne
saheliyo ke kaan me wo kuch boli jiske baad uski saheliya waha se haste hue wapas college ke
andar chali gayi…. Darasal Sana ko maine hee kal raat messege karke college ke baad milne ke
liye kaha tha aur usne meri baat man bhi li thi. ye first time tha jab main personally Sana se
milne wala tha…waise toh main kayi baar us-se face to face baat kar chuka tha lekin ye mulaqat
alag hee thi… main nahi chahta tha ki Deepak waha ho isliye maine indirectly kayi bar use hostel
wapas jaane ke liye kaha, lekin wo nahi mana aur mujhse chipka raha….Sana ko akele garden
me jate dekh maine apne dosto ko ishara kiya ki wo Deepak ko waha se le jaaye lekin Sana ko
dekhne ke baad Deepak toh mujhse jaise chipak hee gaya tha aur phhir pata nahi us hakle me
itni himmat kaha se aayi ki wo parking se garden ki taraf daud pada… Deepak ko aisa karte dekh
mere body me blood circulation ki speed mano dugani ho gayi thi… mera pura shari tapne laga
tha ki ye Sana se kya bolega.... par ye haal sirf mera nahi tha yahi haal Deepak ka bhi tha aur
shayad Sana ka bhi…. Mujhe dar tha ki Deepak, Sana se I love you na bol de…warna kya
karunga main, kya bolunga Sana se… sala hakla.

Par meri kismet achchhi thi Deepak us din Sana se kuch bol hee nahi paya, wo Sana ke paas
daud kar gaya toh tha lekin uske paas pahuchte hee uski jo halat kharab hui use bayan karna
thoda mushqil hai…kyunki Deepak ki Sana ke saamne wo halat dekh main hasne me itna
mashgool tha ki uspar jyada dhyan hee nahi de paya… Deepak, Sana ke paas gaya toh bade josh
me tha lekin ab wo pura paseena-paseena ho chuka tha aur ghabra toh aise raha tha jaise kisi

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
ne uske kanpatti me gun taan rakhi ho… bedhange tarike se lambi-lambi saanse lekar apne
mathe ka paseena pochhkar wo Sana ke paas kuch der tak khada raha….

“what hell are you doing , why are you scratching your breast…I mean cheast…in front of me…”

“sssooorry, Sssssana…aaaa…iiiii”

“get out, loser…”Sana ne chillakar kaha, jis-se Deepak wahi kanp utha aur rote hue hostel ki
taraf aisa bhaga ki beech me kahi nahi ruka…. I repeat…rote hue….

“wo tumhara room partner hai ? hai na…”Deepak ke jaane ke baad main jab Sana ke paas
pahucha toh pahla sawal mujhpar usne yahi daga

“tha… ab maine room change kar diya hai, wo thoda psycho hai…”

“kisi ladki ke peechhe pagal hoga, waise wo yaha kyun aaya tha…”

“tumne uski friend request accept nahi ki toh udas hai bechara…”

“bas…itni si baat?”

“mat karna, satka hai thoda…tumhe bhi na satka de kahi. Anyway..”ek lambi saans bharkar
maine achanak kaha “I love you…” aur phhir apni saans chhod di…

“sorry..”apne dono hath hawa me phaila kar apni narazgi jahir karte hue Sana boli “isliye yaha
bulaya tha..”

“common yar, ab tum ladkiyo wali harqat mat karo ki tum mere dost ho…main apne maa-baap
ke khilaf nahi ja sakti vagerah-vagerah aur rahi baat yaha bulane ki toh tumhe bhi pata hai ki
maine tumhe yaha kyun bulaya par tum ab bhav kha rahi ho… tum hee batao ek ladka jo ki kafi
khool hai…smart hai…dashing hai aur jo itne dino se college ki sabse khoobsurat ladki jise wo
line mar raha hai, use yaha wo akele park me din-dahade kyun bulayega… candy-crush
khelne…? Ye tum ladkiyo ki aadat bahut kharab hai, pahle khud line dogi aur jab ladka line dene
lagega toh bhav khane lagoge… jabran chhoti-chhoti baton me awww…awww karogi, roj jordar
makeup karke aaogi aur phhir jab koyi bolega ki makeup ki ho toh use aisi dekhogi jaise jaise
usne tumhara figure puchh liya ho.. ab tum itne din se mujhe college me, canteen me, lab me
palat-palat kar dekh rahi ho ya nahi… iska kya matlab nikalu main ki tum kya dekh rahi
ho…humara paas toh breast bhi nahi hai, jo tum palat-palat ke dekh rahi thi. itne din se raat-
raat bhar jagkar mujhse chatting kar rahi ho…raat ke do baje good night bolta hoon toh kahti ho
ki…itti jaldi good night ? tum ladkiya sab jaanti ho aur sab samajhti bhi ho…lekin hum ladko ko
khali fokat me pareshan karti ho. upar se….”

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
“okay..okay… I love you too…”mere muh band karke Sana boli…

“sach me kaha ya mere kaan baje hai…”

“I love you too aur ek baat tumne kaha ki main ladkiyo wali harqat na karu…? Kya matlab hai
iska..? main ladki hoon toh ladkiyo wali harqat karungi hee na… tum kahna kya chahte the…
tumne mujhe samajh kya rakha hai..jo itni der se sunaye ja rahe ho…ek baat samajh lo ki, wo
aur ladkiya hoti hongi jo sab kuch chup-chap sah leti hongi, main kuch nahi sahngi aur yadi
tumne aaj ke baad mujhse ek aur baar bhi ye kaha ki….”

“I love you…”abki baar maine Sana ke muh par hath rakha thik usi tarah jaise thodi der pahle
usne rakha tha…

“I love you too…”

“confirm…”

“hmm…”

“phhir se ladkiyo wali harqat…anyway, chalo kiss karte hai…”

Idhar ek taraf mere aur Siddaqui ji ke pyar ne udan bhari wahi dusari taraf udasi aur gam ne
Deepak ko jor se zameen par la patka… Sana meri Girlfriend hai, ye baat jab college me phaili jo
ki phailne hee thi toh main ye expect kar raha tha ki Deepak mere paas aayega aur haklate hue
mujhe dho..dho..dhokhebaaz, gad..gad..gaddar kahega… lekin usne aisa kuch bhi nahi kaha bas
usne apna room change kar liya aur mujhse baat karni bilkul band kar di aur yahi main chahta
tha… Deepak pahle lab me mera partner tha,par phhir teacher ko bolkar usne apna name hatwa
liya tha…jiske baad Sana meri partner bani, wo hume jaha bhi sath dekhta…bas ghoorta rahta…
pata nahi wo kya socha karta tha, par wo hume har waqt ghoorta rahta tha aur phhir wo waqt
aaya jab hum college chhod rahe the… Main aur Sana kafi khush the ki is college ne hume ek-
dusare se milaya, hum dono ka placement bhi ho chuka tha aur humne ye bhi decide kar liya
tha ki apni aage ki zindagi hum sath me guzarenge… main sach me bahut khush tha, itna khush
ki college chhodne ka mujhe zara bhi gam nahi tha… par us din jab main hostel se bahar khade
auto me apna saman rakh raha tha toh pata nahi Deepak bahar kahi se ghoomte hue aaya aur
uski nazar mujhpar padi… wo uspal sare gile-shikwe bhoolkar mere paas aaya aur mujhse hath
milate hue bola…

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
“you know I figured out an amazing thing…I don’t stammer , when I get drunk…see”

“good…it’s good”us-se hath milate hue maine kaha

“you and Sana would be a perfect couple…”

“thank you…”

Jiske baad hum dono hee has pade, pata nahi kyun par aise hee has pade aur Deepak waha se
hostel ki taraf jaane laga…par thodi door jaane ke baad wo palta aur thodi tez aawaz me bola…

“jab bhi tumhe lage ki tum dooono ke beech me pyar kam ho raha hai toh ek-dusare ki aankh
me bina palak jhapkaye kuch der tak dekhte rahna, pyar wapas aa jayega, consider it as your
wedding gift…”

Itna bolkar Deepak chala gaya aur phhir wo din tha aur aaj ka din… main aur Sana khushi-khushi
apna jeewan vyateet kar rahe the par dil me Deepak hamesha ek zakhm ki tarah raha… mera
matlab, Sana kabhi jaan tak nahi payegi ki Deepak us-se kitna pyar karta hai… use toh shayad
Deepak yaad bhi na ho… Deepak ka ye ektarfa pyar mujhe aur himmat deta hai ki main Sana se
aur pyar karu, jo chewingum chabate hue is waqt apne friends ke sath peechhe baithi hui thi….
main apni jagah se utha aur Deepak ke paas gaya……………

Wait, par Deepak toh main tha…phhir main Deepak ke paas kaise ja sakta hoon, mujhe toh ye
kahna chahiye ki main waha khada tha aur apni galti ka ahsaas hone par Atul mere paas
aaya…confused ? well, do you remember the term Frame of Reference…. Jisme object badal
jate hai ? same concept… maine khud ko Atul ki jagah rakha aur ye sab sochta raha… as I said
earlier…Sochne ko toh main kuch bhi soch loon aur koyi mujhe rok bhi nahi sakta lekin sach toh
wahi rahega, jo hai…mere sochne-vicharne se sach nahi badal sakta …. Toh Sach yahi tha ki
main Deepak tha aur wo main hee hoon jo logo se baat karte waqt haklata hai, wo main hee
hoon jo raat-raat bhar Sana ki yaad me cigarette peekar apna dil jalaya karta hai, wo main hee
hoon jo park me Sana ke hadkane par park se rote hue hostel bhaga tha…wo main hee tha jiske
andar itni himmat nahi thi ki wo jis-se pyar karta hai use bata sake… wo main hee tha jisne
college ke aakhiri dino me sab kuch kho diya tha.par is-se zindagi khatm toh nahi ho jati na….so
maine bhi apni zindagi ko naye sire se buna...bhale hee meri zindagi waisi na ho, jaisa maine
socha tha… bhale hee isme Sana na ho. bhale hee main akela hoon…. Kya fark padta hai.

Atul mere paas aaya aur mujhse hath milate hue sorry bola, jise sun-ne ke liye main na jaane
kab se bekarar tha… jawab me main sirf muskuraya aur sirf muskuraya…lekin Atul sorry…par
sorry bolta raha…

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com
“sorry…sorry…maine tere sath bahut galat kiya… mujhe aisa nahi karna chahiye tha… sorry,
Deepak…sorry..please yar mujhe maaf kar de, tujhe pata bhi nahi hoga ki itne salo me main
kaise ghut-ghut kar jiya….i’m sorry, bhai…sorry, really sorry…”

“Atul…Atul, relax…sawal ye nahi hai ki tune kya kiya ,sawal ye hai ki yadi main teri jagah hota
toh kya main wo karta…jo tune kiya and trusssst me, main wo sab karta, jo tune kiya aur tere
liye koyi hard feelings mere dil me nahi hai aur rahi Sssssana ki baat toh us-se main it..it..itna
pyar karta hoon ki uski bhalayi ke liye main use bhi chho..chho..chhod du… wo khush hai, tu
khush hai aur main bhi khush hoon ya nahi bhi hoon toh logo ke saamne khush rahne ka
dikhawa toh kar hee sakta hoon…bye and..and always remember, there was a guy who could
do anything to get her, but he wasn’t as lucky as you’re so take care of her and bye…”

Give your Valuable feedback here: https://xforum.live/threads//all-my-stories-pdf.21549/

Contact: iamgyan94@gmail.com

www.xforum.com iamgyan94@gmail.com

You might also like