You are on page 1of 10

THE BLACK SWAN THEORY

Missing
“Sunday ko yani ki 17th September ko main black swan theory par seminar ke silsile me Pune ke
liye ravana hua, tab Madhulika ghar par thi. Pune pahuch kar jab maine Madhulika ko call kiya
toh uska mobile switched off tha. maine tab ispar jyada dhyan nahi diya aur seminar attend
karne ke liye nikal gaya. phhir maine seminar khatm hone ke baad Madulika ko dobara call kiya
lekin Madhulika ka mobile tab bhi switched off hee tha, isliye maine socha ki Madhulika zaroor
apne kisi friend ke saath party kar rahi hogi ya phhir kahi ghumne gayi hogi…”

“aapko kaise pata ki wo apne kisi dost ke yaha hogi.. mera matlab aap toh pune me the
phhir…”mujhe beech me hee interrupt karke Inspector Madhure ne puchha.

“main uska husband hoon, Inspector aur uski aadat hai ki wo jab bhi kisi party ya function me
hoti hai toh apna mobile band kar deti hai…”

“aur wo aisa kyu karti hai…?”

“Madhulika ko us dauran koyi disturb kare, ye use pasand nahi, lekin wo aisa karne se pahle
mujhe bata deti thi”apne sar par hath ferkar maine Madhure se kaha…
“lijiye Karan saab , chay pijiye…”chay ka cup meri taraf badhate hue Madhure bola “phhir aage
aapne kya kiya”

“phhir maine uske agle din call kiya lekin Madhulika ka mobile dusare din bhi…”

“…switched off tha…”chay ki chuskiya lete hue Madhure ne meri baat puri ki “continue kijiye…”

“jab agle din bhi Madhulika ka mobile switched off raha toh maine apne kuch dosto ko call kiya,
jiske yaha Madhulika aksar jaya karti thi.par unme se kisi ko bhi Madhulika ke bare me kuch
nahi maloom tha aur tab maine Madhulika ke mom-dad se baat ki par Madhulika waha bhi nahi
thi.Maine apne ek dost Ajay ko mere ghar jaane ke liye kaha jiske baad Ajay ne mujhe bataya ki
mere ghar par toh taala laga hua hai.”

“mujhe un sabhi ke numbers aur address chahiye, jinse milne Madhulika ji jaya karti thi…”chay
ka khali cup table par sarkate hue Madhure bola

Maine Inspector ko Madhulika ke close friends ke details diye aur police station se bahar aa
gaya.

Madhulika se meri shadi ko do saal ho chuke the aur yadi pichhale kuch mahino ko chhod diya
jaye toh hum dono hee bahut khushi jeewan bita rahe the par pichhale kuch dino se Madhulika
ka vyavhar thoda ajeeb ho gaya tha. wo mujhse har chhoti-chhoti baat par jhagda karne lagi thi.
Mujhe maloom hai ki insaan ko apni galti kabhi nahi dikhti, lekin un jhagdo me sach me meri
koyi galti nahi thi. Ab bhala doodhwala deri se doodh pahuchaye toh isme meri kya galti ? Kayi
baar toh mujhe aisa lagta, jaise wo jaanbuchkar ye kar rahi thi.

The Affair
Main aaj bhi kosta hoon us din ko jab ye sab shuru hua tha. main kuch mahine pahle apne ek
purane dost Devendra ki marriage anniversary me Madhulika ke sath gaya tha.wahi Madhulika
ki mulaqat Devendra se hui thi aur jab anniversary ka jashn khatm hua aur main wapas apne
ghar jaane laga tab Devendra ne mujhe thodi der aur rukne ke liye kaha tha aur main maan
gaya. Main ,Madhulika, Devendra aur Devendra ki wife Lavanya swimming pool ke paas baithe
hue hasi-mazak kar rahe the aur usi samay jab meri beer khatm hui toh maine Devendra ko
ishara kiya ki wo aur laye…

“kitna peeta hai be… sab khatm kar diya”

“free ki jo hai… ja jaldi se dusari lekar aa…”khali ho chuki beer ki botal ko swimming pool me
fek-kar maine kaha “aur bhabhi, sab badhiya… ye baklol aapko jyada pareshan toh nahi karta…”
Jis par Lavanya aur waha baithe sabhi log hasne lage the. maine us raat aur bhi bahut fizool ki
baate karke sabka dil bahlaya aur jab waha rakhi beer ki aakhiri botal, aakhiri boond bhi khatm
ho gayi toh main waha se utha aur bina kuch bole uthkar seedhe andar jaane laga….

“kaha ja raha hai ,bewde…”

“mujhe maloom tha ki aisa kuch hoga. Mujhe maloom tha ki tu kanjoosi karega ,isiliye thoda
maal main apne car me lekar aaya hoon… tum sab ruko main aata hoon..”

“Devendra, main sone ja rahi hoon”main abhi waha se chalkar thodi door hee aaya tha ki mujhe
Lavanya ki ye aawaz sunayi di.

car ke trunk se blender ka ek bumper nikal kar main wapas muda hee tha ki Lavanya mujhe thik
mere saamne dikhayi di. Jise dekhkar main muskuraya kyunki hum dono ke beech ek aisa rishta
panap chuka tha jo samaz ki nazar me, mere dost ki nazar me, meri biwi ki nazar me, yaha tak ki
meri nazar me bhi galat tha, lekin phhir bhi mujhe ye achchha lagta tha aur yahi chiz mere liye
mayne rakhti thi.

“when a woman smiles too much, don’t trust her… ”ladkhadate hue Lavanya ke paas jakar
maine kaha“kahi aapka koyi galat irada toh nahi… see, I’m married.”

“so am i…”mere karib aakar Lavanya boli. Lavanya mere karib aate hue mere itne karib aa gayi
ki uski chhati mujhse sparsh hone lagi thi.hum dono bahut der tak ek dusare ko aise hee dekhte
rahe aur phhir maine apne pant par Lavanya ka hath mahsoos kiya.

Investigation
Madhulika ke missing hone ki report darj karane ke char din baad main aaj phhir Police station
me tha aur mujhe waha dekhte hee Madhure bol pada…

“achchha hua , aap aa gaye..thoda aur late hote toh main round par nikal jata… chay piyenge..
arey piyenge hee, Dwiedi ji do cup chay bhejna toh…”

“nahi main nahi piyunga…”

“arey toh hum he pee lenge do cup, kono nuksan thodi hai…”apna daant fadte hue Inspector
Madhure ne kaha “ji, humne Madhulika ji ke call details check ki hai, jisme ek number par
bahut baar call kiya gaya hai, shuru me humne socha ki wo aapka number hoga, lekin phhir jab
number check kiya toh wo aapke dost Devendra ka tha…”

“shayad Lavanya ki vazah se… mujhe exactly kuch nahi pata”


“kamal hai Karan saab, Lavanya toh pichhale ek mahine se Devendra ke sath nahi rah rahi.wo
dono ab alag-alag rahte hai, phhir Madhulika ji baar-baar Devendra ko call kyun karti thi ? chalo,
maan lo ki ek-do baar jab Lavanya ji ka phone nahi laga hoga toh unhone Devendra ji ka number
mila diya hoga… lekin itni calls ?… ab mera ek sawal hai. Kya aapko apni wife aur aapke dost ke
rishte ke baare me maloom tha.”

“ye aap kya baat kar rahe hai, Madhu ko aapne samajh kya rakha hai. Wo meri wife hai
aur….”gusse se kanpte hue main cheekha

“control Karan ji, hum shant hai…iska matlab ye nahi ki shant hee rahenge. Dwivedi ji, Saab ke
liye ek chay magao…” mere kandhe par hath rakhte hue Inspector Madhure ne kaha…

“mujhe nahi peeni koyi chay… “

“arey hum pi lenge. Dwivedi ji,ek cup ka order phhir maro toh…wo kya hai ki chay peene se
kono nuksaan thodi hai…toh kaha the hum. Haan ! kya aapko maloom tha ki Madhulika ji aur
Devendra ji ka najayaj sambandh tha aur abki baar thande dimag se jawab dijiyega… warna
kahi hum garma gaye toh…anyway”

“nahi…”

“humne Madhulika ji ki call recording check ki , jis-se pata chala ki aapki wife ka aapke karibi
mitra Devendra ke sath affair tha. Devendra aksar Madhulika ji ke mobile me call kiya karta tha,
par ek baar usne aapke ghar ke telephone me bhi call kiya tha, par us waqt aap apne office me
the” bolte hue Madhure achanak chup ho gaya aur bahar baithe ek hawaldar ko aawaz dekar
kaha ki wo call recording wale tapes lekar aaye.

Maine Madhu aur Devendra ke conversation ki kayi tape suni, jis-se ye saaf ho gaya ki
Madhulika aur Devendra ke beech affair tha aur Devendra ,Madhulika ko blackmail kar raha tha
ki ya toh wo use 2 crore rupaye de ya phhir mujhe chhodkar uske paas aa jaye. Madhure ne
mujhe Madhulika aur Devendra ke beech hui baat-chit ki aakhiri tape bhi sunayi…jisme
Madhulika, Devendra se kahti hai ki wo pahle Devendra ke ghar jayegi aur phhir waha se dono
bank jayenge.Police station me wo sabhi tape sunkar mera dil baith gaya aur rah-rah kar mujhe
Madhulika se hui meri jhadap yaad aa rahi thi.

“main use chhodunga nahi…”gusse se kanpte hue maine kaha

“Devendra ko marne ka mann kar raha hai na. mera bhi kiya tha.infact main toh uske ghar bhi
gaya tha lekin phhir mujhe pata chala ki Devendra toh khud 17th sept. se laapata hai..”

“Devendra bhi Missing hai ?”


“Devendra bhi usi din se gayab hai, jis din se aapki wife… hain na interesting. Mera matlab aap
samajh gaye honge ki main kya kahna chah raha hoon… aapki wife yani ki Madhulika ji ,us din
plan ke mutabik Devendra ke yaha gayi thi… lekin phhir uske baad dono mano chhoo-mantar ho
gaye. Na toh wo dono bank gaye aur na hee un dono ko uske baad kisi ne dekha… waise
Devendra se aapki aakhiri baar baat kab hui thi…”

“thik se yaad nahi par shayad 10-12 din pahle meri us-se baat hui thi…wo mujhse udhar mang
raha tha par maine use mana kar diya tha. jiske baad hum dono ki bahas bhi hui thi…”

“kaise dost ho aap,Karan saab. Apne dost ki madad nahi ki.. yadi aap madad kar dete toh phhir
wo Madhulika ji ko pareshan nahi karta aur aaj aapki patni aapke sath hoti. Par kya main jaan
sakta hoon ki Devendra ne kitne paise maange the aur aapne kyun mana kar diya. Afterall wo
aapka dost tha.”

“Devendra mujhse 50 lakh maang raha tha. usne mujhse kaha ki abki baar share market uska
hai aur badle me wo mujhe 60 lakh return karega…”

“phhir toh aapko de dena chahiye tha…”

“yahi bolkar Devendra pahle bhi mujhse 30 lakh rupaye le chuka tha toh phhir main use aur 50
lakh kaise de sakta tha…ye jaante hue bhi ki wo wapas nahi kar payega.. that’s all”

“that’s all.ab aap ja sakte hai.. ya phhir kahe toh ek-ek cup chay ho jaye. Wo kya hai ki chay
peene me kono nuksaan thodi hai.”

The Thief
Call recordings se ye baat saaf ho gayi thi ki Madhulika aur Devendra ke beech najayaj
sambandh the aur yahi jawab kafi hai un sare sawalo ke liye jo main Madhulika se puchhna
chahta tha. jab se Madhulika meri zindagi se gayi hai tab se mera dimag mujhse har waqt yahi
kahta rahta hai ki mujhe us din Devendra ki anniversary par nahi jaana chahiye tha lekin
Madhulika toh us din pure samay mere sath thi.phhir uska taaka Devendra se kaise bhida ?
yaad aaya, jab main car se sharab lene gaya tha, tab mujhe Lavanya ke karan bahut der ho gayi
thi aur jab main wapas aaya toh , Devendra aur Madhu swimming pool ke paas nahi the. Main
sharab ke nashe me bahut dhut tha , jiski vazah se main wahi swimming pool ke paas rakhe
lounger chair me thodi der ke liye let gaya tha.jiske baad Madhulika ne mujhe uthaya tha.

“woohoo.. main so gaya tha shayad. Tum dono kaha the.”

“pahle tu ye bata ki tu kaha tha itni der..”


“car ka trunk nahi khul raha tha”

“aur main Madhulika bhabhi ko apna ghar dikha raha tha…”

“nice house par tera wo basement ek daag ki tarah hai.. use saaf kyun nahi karwata tu. Na jaane
kitne janm se band pada hai…pagal hai kya, itna hard peg…thoda aur paani daal”

Main yadi us din Devendra ke ghar nahi gaya hota toh shayad aaj Madhulika mere paas hoti
kyunki yadi main aisa karta toh na toh Madhulika aur Devendra ke beech affair hota aur na hee
Devendra ,Madhulika ko paiso ke liye blackmail karta aur na hee Madhulika gayab hoti aur na
hee Madhulika ke gayab hone ke teen hafte baad main ek baar phhir se police station me hota
aur na hee Inspector Madhure mujhe ek baar phhir chay peene ka prastav de raha hota.

“chay lijiyega kya Karan saab…” mujhe chay peene ka prastav dete hue Madhure ne kaha, jise
maine turant kharij kar diya

“nahi.. maine ab chay peena band kar diya hai”

“arey wah, health conscious. lekin chay peene me kono nuksan thodi hee hai.”

“aapne mujhe yaha kyun bulaya hai”seedhe point par aate hue maine puchha…

“ek banda humare hath laga hai, lekin main use aapko milwau…uske pahle zara chay-shay ho
jaye… aadhe ghante ho gaye, chay piye hue…Dwivedi ji… ek cup bhijwana toh”

Madhure pure 5 minute tak chay ki chuskiya marte hue mujhe irritate karta raha aur phhir cup
neeche rakhkar roomal se apna muh saaf karne ke baad mujhse bola

“bhai, maja aa gaya… Karan ji, ek film aayi thi ek-dedh saal pahle uska name tha-Guddu ki Gun.
Matlab kya kamal ki gun thi us guddu ke paas , usi tarah apne Guddu ki chay hai..sala kya
banata hai. Mann he nahi bharta…khair chhodiye, aap bhi kin baton me pad jaate ho.mere sath
chaliye…”

Madhure ne andar lock up me 25-26 saal ke ek ladke ko band karke rakha hua tha jise do-teen
policewale buri tarah peet rahe the.Madhure ne un policewalo ko rukne ke liye kaha aur phhir
andar jakar us ladke ke sar ka baal pakadkar bola

“Karan saab, inka name hai Fudur .hai na chutiya name, par ye apne name se bhi jyada chutiya
hai. in mahashay ko chori karne me bahut maza aata hai.”baal pakad kar use upar uthate hue
Madhure bola “sale ne pure area me aatank macha rakha hai, jab dekho tab kisi ka mobile pel
deta hai toh kisi ka purse”
“Madhulika ka is-se, jo bhi name hai iska…kya lena-dena…”

“Hum log Madhulika ji ke mobile ka EMI no. shuru se trace kar rahe the. Shuru-shuru me toh
hume koyi safalta nahi mili lekin kuch din pahle Madhulika ji ke mobile ko kisi ne dusari sim se
on kiya aur tab jakar ye Fudur humare hath laga.”

“Madhulika ka mobile iske paas mila..?”

“aur nahi toh kya…par maze ki baat ye hai ki ye haramkhor Devendra Saxsena ka naukar
hai..”Fudur ko ek thappad marte hue Madhure ne kaha. Madhure ke ek thappad me itna dum
tha ki Fudur wahi neeche zameen par lot gaya aur Madhure ka pair pakad kar rone laga lekin
Madhure nahi ruka aur use kutto ki tarah peetne laga….

“sala, madarchod… bolta hai ki mobile gira hua paya tha. harami kahi ka. Dwivedi ji… pani se
nahlao ise aur mera danda do mujhe abhi is-se sach ugalwata hoon…”

Main waha se bahar aa gaya lekin us ladke ki cheekh mujhe lagatar sunayi de rahi thi. Wo
cheekhe mujhe bahut der tak sunayi deti rahi aur phhir jab wo cheekhe shant hui toh paseene
se tar apna matha pochhate hue Madhure bahar meri taraf aaya…

“sala chor kahi ka”mere bagal me baith kar Madhure badbadaya

“Madhulika ke bare me kuch pata chala…”

“bolta hai ki , ise ye mobile Devendra ne diya tha aur bola tha ki wo ise kahi thikane laga de.
Lekin is chutiye ne mobile ki sim toh fek di lekin kuch hafto baad nayi sim se mobile on kar liya.
Police walo ko chutiya samajh rakha hai ,in sadakchhap choro ne…”bolte hue Madhure ruka aur
lambi-lambi saans lene laga aur thodi der sustane ke baad wapas bolna shuru kiya…

“Devendra ne ise mobile ke sath 30 hazar rupaye bhi diye the aur is-se kaha tha ki usne yaha jo
kuch bhi dekha hai… wo kisi ko na bataye.”

“jo dekha hai matlab ?usne waha kya…waha kya dekha tha…”kisi anhoni ki aashanka se
ghabrate hue maine Madhure se puchha…

“bolta hai ki jab wo dopahar me Devendra ke yaha kaam karne gaya toh Devendra apne ghar ke
peechhe wale hisse ki safayi kar raha tha aur pure floor me khoon tha. Devendra use dekhkar
shuru me toh ghabra gaya lekin phhir usne mamla sambhala aur Fudur ko Madhulika ji ke
mobile ke sath 30 hazar rupaye diye. Aap sath chalo, Devendra ke ghar ki taalashi leni hai, par
uske pahle ek chay…Guddu ki chay…Dwivedi ji, order pelo toh…”
The Basement
Police ki ek puri team Madhure ke bunglow par pahuchi aur unke peechhe-peechhe main bhi
car se waha pahucha. Madhure ne mar kha-kha kar adhmare ho chuke Fudur ko baal pakad kar
police jeep se utara aur use us jagah chalne ke liye kaha ,jaha basement tha.Inspector ne
Lavanya ko bhi inform kar diya tha aur wo bhi waha pahuch gayi thi. Fudur langdate hue
,swimming pool se hote hue us kamre me pahucha jaha neeche basement bana hua tha.
basement ka darwaje par koyi lock nahi laga tha aur na hee wo bahar se band tha , wo toh sirf
dhaka hua tha aur jaise hee police walo ne Basement ka darwaja khola ek bahut tez durgandh
pure vatavaran me phail gayi. Wo durgandh itni bhayanak thi ki Lavanya wahi ulti karne lagi,
jinhe phhir kuch policewale waha se door le gaye . policewale mask lagakar aage badhe. Itni tez
badboo ke karan meri himmat nahi hui ki main andar jaun aur waise bhi mujhe pahle se hee
maloom tha ki andar kya hoga aur kis halat me hoga, isliye main upar hee raha aur upar hee
rahta yadi mujhe Madhure ne neeche aane ke liye na kaha hota toh….

Main apne muh aur naak ko roomal se dhak-kar dheere-dheere seedhiyo ke raaste basement ke
andar gaya , wo basement jitna bura tha, waha ka drishya us-se bhi jyada bura tha.zameen par
ek kone me ek aurat ki lash thi ,jiske kapde Madhulika ke jaise the aur uske paas me uska purse
khula hua pada tha, jis-se SBI bank ki cheque book mujhe saaf dikh rahi thi. Main dheere-
dheere uski taraf badha, Madhulika ki gori twacha puri neeli ..ya phhir kali pad chuki. Uska muh
khula hua tha aur sar par bahut bhayanak nishan tha,jaise kisi ne bahut bhari chiz se uske sar
par hamla kiya ho aur main janta tha ki ye kisne kiya hai. Madhulika ki ye haalat dekhkar main
wahi uske paas bejuban sa hokar baith gaya.

“dusari body upar se utaro aur ambulance ko call karo aur sath me yadi aas-paas koyi chay ki
dukan ho toh use chay lekar aane ke liye kaho”Inspector Madhure ke ye shabd mere kaano me
pade..lekin mera dimag jo sun paya...jo samajh paya wo tha- ‘ dusari body ? ’

Main peechhe palta aur Basement ke dusare hisse ki taraf dekha ,jaha Madhure mask lagaye do
constables ke sath khada tha. maine dekha ki waha basement ki chhat me lage ek hook se
Devendra ki body latki hui thi aur uska pura sharir bhi Madhulika ke sharir ki tarah neela pad
chuka tha, yaha tak ki daanto ke beech fasi uski jeebh bhi.
Dono dead body ko post-mortem ke liye bhej diya gaya. Main aur Lavanya bahar garden me
khade hokar us ambulance ko jata hua dekh rahe the ki tabhi Madhure humare paas aaya aur
mujhse bola..

“Karan saab, aapke pune jaane ke baad Madhulika ji, Devendra ji ke paas aayi hongi. Unke
purse me aap dono ke joint account ka cheque-book aur paasbook tha, yaani ki wo dono yaha
se bank jaane wale the lekin phhir kisi baat ko lekar unke beech jhadap hui hogi aur Devendra
ne accidently Madhulika ji ka khoon kar diya. Usne Madhulika ki body basement me chhipayi
aur jaha par unki maar-peet hui thi waha ki safai karte waqt Fudur waha aa pahucha, jise
Devendra ne aanan-fanan me Madhulika ka mobile aur 30 hazar rupaye dekar waha se bhej
diya aur phhir usne Madhulika ki body basement me chhipayi aur wahi khud ko fansi laga li.
Baki unki kis baat par bahas hui aur unki ladayi kaise itni serious ho gayi…ye shayad hume kabhi
pata na chale.Mera toh yahi manna hai, aapke dil me kuch aur ho toh bol dijiye uski bhi jaanch
kar lenge..”

“please leave..”

“ok, Karan saab. Main chalta hoon. Dwivedi ji.. chay-shay toh magao”

The Killer~How it all happened


Post-mortem report me ye aaya ki Madhulika aur Devendra ne sharab pee rakhi thi. Jiske baad
Inspector Madhure ki Madhulika aur Devendra ke beech hui ladayi wali theory ekdum fit baith
gayi ki bank jaane se pahle dono ne sharab pee aur phhir kisi baat par dono ki bahas ne serious
mod le liya jiska nateeza Madhulika ke Murder aur Devendra ke suicide ke roop me bahar aaya
par meri mano toh Inspector Madhure ki ye theory galat thi aur main aisa kah sakta hoon
kyunki mere paas ek dusari theory hai aur jo sach bhi hai . The Black Swan Theory.(combination
of unexpected events, impact & explainable ending)

Mujhe Madhulika aur Devendra ke affair ke baare me maloom chala mere ghar ke telephone
me dono ke beech hui baat-chit se.yun toh wo dono aapas me baat kar rahe the aur jab wo
dono baat kar rahe the tab main ghar me tha bhi nahi lekin un dono ko ye nahi pata tha ki mere
ghar ke telephone se hone wali har baat-chit main record karta hoon.

Sbi bank ka branch manager ya phhir kahe ki mera bahut acha dost jisne mujhe wo taarikh
batayi jis din Madhulika bank se paise nikalne wali thi aur maine usi din dopahar 1 baje pune ke
liye flight book ki.lekin main ghar se 10 baje hee nikal gaya aur Devendra ke ghar pahucha.
Beshumar karj me dooba mera dost Devendra, jise maine 50 lakhs dene ka vaada kiya aur phhir
use behisaab sharab pilayi.jiske baad mujhe use basement me lejakar basement ki chhat se
latkane me koyi khas dikkat nahi hui aur phhir maine intezaar kiya agle ek ghante tak apni jaan
se pyari biwi ka, jiski main jaan lene wala tha . mujhe Devendra ke ghar me dekh kar wo buri
tarah chauk gayi thi. Usne waha se bhagne ki bhi kosish ki lekin maine use pakad kar sharab ki
botal zaradasti uske muh me theli aur phhir uska sar floor se patak-patak kar use mar diya.

Lalach aur garibi se maar khaya hua Devendra ka Naukar Fudur, jo us waqt waha aa jata hai, jab
main floor se Madhulika ka khoon saaf kar raha hota hoon.use laalach dena 20 lakhs ka jiske
badle me use sirf 2-3 saal jail ki hawa khani thi, jo na toh uske liye bura shauda tha aur na hee
mere liye. Maine use wo kahani batayi jo use police ke saamne batani thi aur phhir sim nikalkar
Madhulika ka mobile use de diya ye bolkar ki wo ise teen hafte baad chalu kare.iske baad main
12 baje tak Airport pahucha aur flight pakadkar Pune ravana ho gaya, jaha se maine Madhulika
ko do-teen call kiye aur phhir teen din baad aakar police me report darj karayi ki meri jaan se
pyari wife Madhulika Missing hai.

Par meri ye chaalaki, meri ye berahmi is baat ko badal nahi sakti ki mujhe Madhulika ke marne
ka bahut afsos hai. main use marna nahi chahta tha.par main use khona bhi nahi chahta tha aur
na hee divorce ke baad apne jee jaan se kamaye rupaye ko. Ye sab kuch The Black Swon theory
ke andar hua tha. jisme Madhulika ka gum ho jana Outside expectation tha, Fudur ka pakde
jana aur uski jhoothi kahani ne ise powerful impact diya aur phhir basement ke drishya ne ise
unexpected but explainable ending ke sath khatm kar diya tha.

Maine apna mobile uthaya aur Lavanya ko aaj raat dinner ke liye invite kiya, jise Lavanya ne
swikar kar liya.ab wo aakhiri aisi shaks thi, jo mujhe pareshani me dal sakti thi aur aaj raat ko
dinner ke baad main use bhi thikane lagane wala tha!!

Thanks for reading.

You might also like