You are on page 1of 5

01.

Oulaad kay mutaliq baap ki


zemedariyaan.
Roman English Urdu

Aulaad kay haqooq”

Aulaad kay mutaliq baap ki zimmedaariyan aulaad ki tarbiyat mein


baap ki sab se ehem zimmedaari hai, is liye keh baap hi se fitratan
aulaad darti aur lehaaz karti hai, aap (‫ )علیہ الصلوۃ والس"م‬ne is ki taraf
ishara kartay hue farmaaya:

ِ‫ع ٰلی أَھْ ِل بَیْ ِتہ‬ ٍ ‫عی= ِتہ َوال =رجُ ُل َرا‬
َ ‫ع‬ َ ‫ع ٰلی َر‬
َ ‫َسئُو ٌْل‬
ْ ‫ع َوم‬ ٍ ‫ َ ِمیْ ُر َرا‬C‫ا‬
ْ ‫ع ْن َر ِعی= ِتہ َو‬ ْ ‫لکُ ْم م‬G ُ‫ع َوک‬
َ ‫َسئُو ٌْل‬ ٍ ‫لکُ ْم َرا‬G ُ‫”ک‬:
‫عن ابن عمر‬/ ‫عی= ِتہِ”)متفق عليه‬ ْ ‫لکُ ْم م‬G ُ‫ع َوک‬
َ ‫َسئُو ٌْل‬
َ ‫ع ْن َر‬ ٍ ‫لکُم َرا‬G ُ‫ َفک‬،ِ‫جہَا َو َو َل ِدہ‬ ِ ‫ع ٰلی بَی‬
ِ ‫ْت زَ ْو‬ ِ ‫ َ ْرأَۃُ َر‬W‫ا‬
َ ٌ‫اعیَۃ‬ ْ ‫َو‬
( ‫ عنھما‬Z‫رضى ا‬

Tarjuma:

“Tum mein se har aik zimmedaar hai aur apni zimmedaari kay mutaliq
poocha jaaye ga, Ameer apni raiyat ka, mard apnay ahal-o-ayal ka aur
aurat apnay shohar kay ghar aur bachon ki zimmedaar hai, is tarhan
tum mein se har shakhs zimmedaar hai aur apni zimmedaari kay
mutaliq poocha jaaye ga.”

https://imsjeddah.com/knowledgebase/childrens-upbringin kay-huqooq/01-oulaad-kay-mutaliq-baap-ki-zemedariyaan/ 25/02/2024, 12 15 PM


Page 1 of 5
:
g
Is se maloom hua keh aulaad ki deeni tarbiyat baap ki zimmedaari hai
aur is talluq se woh Allah kay paas jawab dah hai.

‫”مَا نَحَ َل َوالِ ٌد َو َلدًا‬: ‫ہ علیہ وسلم قال‬b‫ہ صلی الل‬b‫ہ عنہ أن رسول الل‬b‫شعری رضی الل‬C‫عن أبی موسی ا‬
(‫ن ” )ترمذی‬ َ َ‫ض َل ِم ْن أ َ ْدبٍ ح‬
ٍ ‫س‬ َ ‫ِم ْن نَحْ ٍل أ َ ْف‬

Hazrat Abu Moosa Ash’ari (‫ )رضی اللہ عنہ‬se marwi hai, Rasool Ullah (‫ )ﷺ‬ne
irshad farmaaya: “Kisi baap ne apnay betay ko achay adab se ziyada koi
behtareen atiyah nahi diya.”

َ ‫ہ علیہ وسلم أَن=ہُ َق‬b‫ہ صلی الل‬b‫ہ عنہما عن رسول الل‬b‫عن إبن عباس رضی الل‬
”: ‫ال‬
( ‫ ) إبن ماجة‬, ,‫دكم وأحسنوا أدبهم‬u‫أكرموا أو‬

Hazrat Abdullah Bin Abbas ( ‫ )رضی اللہ عنہما‬kehtay hain, Rasool Ullah (‫)ﷺ‬
ne irshad farmaaya: “Tum apni aulaad ki izzat karo aur unki achi
tarbiyat karo”.

َ ‫ َدکُ ْم َوأَہْلِیْکُ ْم ا ْل‬uَ ‫لمُ وْا أ َ ْو‬x ‫ع‬


‫دبُوْہُ ْم ” )اجرجه عبد الرزاق فی‬x َ ‫خیْ َر َوأ‬ َ ‫ہ عنہ أَن=ہُ َق‬b‫عن علی رضی الل‬
َ ”:‫ال‬
( ‫مسندہ‬

Hazrat Ali (‫ )رضی اللہ عنہ‬ne farmaaya:

“Apnay ahal-o-ayal ko bhalai ki taleem do, aur inhen adab sikhlao”.

َ ‫ ا ْلوَ ْل ِد‬x‫” ِم ْن حَ ق‬:‫ال‬


‫ع َلی‬ َ ‫ہ علیہ وسلم أَن=ہُ َق‬b‫ہ صلی الل‬b‫ہ عنہما عن رسول الل‬b‫عن إبن عباس رضی الل‬
(‫اسمَ ہُ”۔) أخرجہ البیہقی‬ ِ ْ‫س َن أ َ ْدبَہُ َویُح‬
ْ ‫س َن‬ ِ ْ‫ن یُح‬
ْ َ ‫ا ْلوَالِ ِد أ‬

https://imsjeddah.com/knowledgebase/childrens-upbringin kay-huqooq/01-oulaad-kay-mutaliq-baap-ki-zemedariyaan/ 25/02/2024, 12 15 PM


Page 2 of 5
:
g
Hazrat Abdullah Bin Abbas ( ‫ )رضی اللہ عنہما‬kehtay hain, Rasool Ullah (‫)ﷺ‬
ne irshad farmaaya: “Betay ka baap par haq hai keh is ka naam acha
rakhay aur usay behtareen adab sikhaaye”

= ‫عنْہُ یَوْ َم‬


،َ‫السا ِبع‬ َ G‫غ َ" ُم یُ َعق‬ُ ‫”أ َ ْل‬:‫ال‬
َ ‫ہ علیہ وسلم أَن=ہُ َق‬b‫ہ صلی الل‬b‫ہ عنہ عن رسول الل‬b‫عن أنس رضی الل‬
ِ ‫ن ا ْل ِف َر‬
َ‫ فَ ِإذَا بَ َلغ‬،‫اش‬ َ ‫عز َِل‬
ِ ‫ع‬ ُ ‫س ِنیْ َن‬ ِ َ‫سع‬ َ ‫س ِنیْ َن أُد‬
ْ ‫ َو إِذَا بَ َلغَ ِت‬،‫ب‬x ِ =‫ست‬
ِ َ‫ فَ ِإذَا بَ َلغ‬،‫َذٰی‬C‫ا‬
ْ ُ‫عنْہ‬ ُ ‫ َویُمَ ا‬،‫ُسم= ی‬
َ ‫ط‬ َ ‫َوی‬
،ِ‫خذَ ِبی َِدہ‬
َ َ ‫ ث ُ =م أ‬،ُ‫سنَۃً زَو=جَ ہُ أَبُوْہ‬
َ َ‫َش َرۃ‬ْ ‫ست=ۃَ ع‬ِ َ‫ فَ ِإذَا بَ َلغ‬،ِ ‫الصوْم‬
= ‫الص َ"ۃَ َو‬ = ‫ع َلی‬ َ ‫ِب‬ َ ‫ضر‬ُ ً‫سنَۃ‬ ْ ‫ثع‬
َ َ‫َش َرۃ‬ َ "َ َ ‫ث‬
‫خ َرۃِ ” إبن حبّان۔‬ ِ ‹‫ا‬ْ ‫ع َذا ِبکَ ِفی‬ َ ‫دنْیَا َو‬G ‫ہِ ِم ْن ِفتْنَ ِتکَ ِفی ال‬b‫عوْ ُذ بِالل‬
ُ َ ‫ع =لمْ تُکَ َوأَنْکَحْ تُکَ َوأ‬
َ ‫ال َق ْد أ َ =دبْتُکَ َو‬
َ ‫َو َق‬

Tarjumah:

“Hazrat Anas kehtay hain, Rasool Ullah (‫ )ﷺ‬ne irshad farmaaya:


“Bachay ka satwen din aqiqah kiya jaaye, is ka naam rakha jaaye, is kay
baal mond diye jaaein, jab woh chy saal ka ho jaaye to usay adab
sikhaya jaaye, jab no saal ka ho jaaye to Is ka bistar allag kar diya jaaye,
jab terah saal ka ho jaaye to namaz nah parhnay par mara jaaye, jab
woh solah saal ka ho jaaye to baap is ki shadi kar day, phir is ka haath
pakar kar kahay:”

“Main ne teri tarbiyat ki aur tujhe taleem di, aur teri shadi kar di, aur ab
mein teri duniawi azmaish aur aakharwi azaab se Allah ki hifazat talabb
karta hon

Hazrat umar Bin Al Khitaab (‫ )رضی اللہ عنہ‬kay paas aik shakhs apnay
bachay ki nafarmani ki shikayat lay kar aaya, aap ne is kay larkay ko
bulaya aur usay apnay baap ki nafarmani aur is kay haqooq se laa
parwahi par daant pilayi, larkay ne aap se poocha:

Aey Ameer-ul-momineen!

kya betay ka baap par bhi koi haq hai ya nahi? aap ne farmaaya:

https://imsjeddah.com/knowledgebase/childrens-upbringin kay-huqooq/01-oulaad-kay-mutaliq-baap-ki-zemedariyaan/ 25/02/2024, 12 15 PM


Page 3 of 5
:
g
“kyun nahi?”

Is ne kaha:

“Agar hai to aap bataien?”

َ ‫لمَ ہُ ا ْل ُق ْرآ‬x ‫ َویُ َع‬،ُ‫اسمَ ہ‬


,,‫ن‬ ْ ‫س َن‬ = ُ ‫ن یَنْت َِقیَ أ‬
ِ ْ‫ َویُح‬،ُ‫مہ‬ ْ َ‫” أ‬

“Is kay liye aik pakeeza maa ka intikhab karay, is ka naam acha rakhay
aur usay Quran-e-Majeed sikhaaye”.

Larkay ne kaha:

“Ameer-ul-momineen!

meray baap ne un tenu haqooq mein se aik bhi adaa nahi kya, meri maa
aik majoosi ki sodani londi thi, aur unhon ne mera naam Joal ( gobar
mein rehnay wala kala keera ) rakha, aur mujhe Quran-e-Majeed ka aik
harf bhi nahi sikhaya”

Hazrat Umar (‫ )رضی اللہ عنہ‬yeh sun kar baap ki taraf mutwajjah hue aur
farmaaya:

ِ ‫نی‬
“ َ‫سيْئَ إِ َلیْک‬G ْ َ ‫سأْتَ إِ َلیْہِ َقب َْل أ‬
َ َ ‫ن یَ ُع =قکَ َوأ‬ َ ‫ َو َق ْد‬،َ‫ع ُقوْقَ اب ِْنک‬
ْ َ ‫ع َق ْقتَہُ َقب َْل أ‬ ْ ‫“جئْتَ إِ َلي= ت‬
ُ ْ‫َشکُو‬ ِ :

Tarjuma:

https://imsjeddah.com/knowledgebase/childrens-upbringin kay-huqooq/01-oulaad-kay-mutaliq-baap-ki-zemedariyaan/ 25/02/2024, 12 15 PM


Page 4 of 5
:
g
“Tum apnay larkay ki nafarmani aur is kay burray sulooq ki shikayat lay
kar aaye ho, jab keh tum ne is kay haqooq kay baray mein (Rab ki
nafarmani ki aur is se pehlay keh woh tumahray sath bura maamla
karta tum ne khud is kay sath bura salook Kya.

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

https://imsjeddah.com/knowledgebase/childrens-upbringin kay-huqooq/01-oulaad-kay-mutaliq-baap-ki-zemedariyaan/ 25/02/2024, 12 15 PM


Page 5 of 5
:
g

You might also like